Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aadhi raat

Firaq Gorakhpuri

aadhi raat

Firaq Gorakhpuri

MORE BYFiraq Gorakhpuri

    1

    siyāh peḌ haiñ ab aap apnī parchhā.īñ

    zamīñ se tā-mah-o-anjum sukūt ke mīnār

    jidhar nigāh kareñ ik athāh gum-shudgī

    ik ek kar ke fasurda charāġhoñ palkeñ

    jhapak ga.iiñ jo khulī haiñ jhapakne vaalī haiñ

    jhalak rahā hai paḌā chāñdnī ke darpan meñ

    rasīle kaif bhare manzaroñ jāgtā ḳhvāb

    falak pe tāroñ ko pahlī jamāhiyāñ aa.iiñ

    2

    tamoliyoñ dokāneñ kahīñ kahīñ haiñ khulī

    kuchh ūñghtī huī baḌhtī haiñ shāh-rāhoñ par

    savāriyoñ ke baḌe ghuñgrūoñ jhankāreñ

    khaḌā hai os meñ chup-chāp har siñgār peḌ

    dulhan ho jaise hayā sugandh se bojhal

    ye mauj-e-nūr ye bharpūr ye khilī huī raat

    ki jaise khiltā chalā jaa.e ik safed kañval

    sipāh-e-rūs hai ab kitnī duur berlin se

    jagā rahā hai koī aadhī raat jaadū

    chhalak rahī hai ḳhum-e-ġhaib se sharāb-e-vajūd

    fazā-e-nīm-shabī nargis-e-ḳhumār-ālūd

    kañval chuTkiyoñ meñ band hai nadī suhāg

    3

    ye ras sej ye sukumār ye sukomal gaat

    nayan kamal jhapak kām-rūp jaadū

    ye rasmasā.ī palak ghanī ghanī parchhā.īñ

    falak pe bikhre hue chāñd aur sitāroñ

    chamaktī uñgliyoñ se chhiḌ ke saaz fitrat ke

    tarāne jāgne vaale haiñ tum bhī jaag uTho

    4

    shuā-e-mahr ne yuuñ un ko chuum chuum liyā

    nadī ke biich kumudnī ke phuul khil uTThe

    na muflisī ho to kitnī hasīn hai duniyā

    ye jhā.eñ jhā.eñ rah rah ke ek jhīñgur

    hinā Tattiyoñ meñ narm sarsarāhaT

    fazā ke siine meñ ḳhāmosh sansanāhaT

    ye kā.enāt ab ik niiñd le chukī hogī

    5

    ye mahv-e-ḳhvāb haiñ rañgīn machhliyāñ tah-e-āb

    ki hauz-e-sehn meñ ab in chashmakeñ bhī nahīñ

    ye sar-nigūñ haiñ sar-e-shāḳh phuul guḌhal ke

    ki jaise be-bujhe añgāre ThanDe paḌ jaa.eñ

    ye chāñdnī hai ki umDā huā hai ras-sāgar

    ik aadmī hai ki itnā dukhī hai duniyā meñ

    6

    qarīb chāñd ke mañDlā rahī hai ik chiḌiyā

    bhañvar meñ nuur ke karvaT se jaise naav chale

    ki jaise sīna-e-shā.ir meñ koī ḳhvāb pale

    vo ḳhvāb sāñche meñ jis ke na.ī hayāt Dhale

    vo ḳhvāb jis se purānā nizām-e-ġham badle

    kahāñ se aatī hai madmāltī latā lipaT

    ki jaise saikḌoñ pariyāñ gulābiyāñ chhiḌkā.eñ

    ki jaise saikḌoñ ban-deviyoñ ne jhūle par

    adā-e-ḳhās se ik saath baal khol diye

    lage haiñ kaan sitāroñ ke jis aahaT par

    is inqalāb koī ḳhabar nahīñ aatī

    dil-e-nujūm dhaḌakte haiñ kaan bajte haiñ

    7

    ye saañs letī huī kā.enāt ye shab-e-māh

    ye pur-sukūñ ye pur-asrār ye udaas samāñ

    ye narm narm havāoñ ke nīl-gūñ jhoñke

    fazā oT meñ mardoñ gungunāhaT hai

    ye raat maut be-rañg muskurāhaT hai

    dhuāñ dhuāñ se manāzir tamām nam-dīda

    ḳhunuk dhundalke āñkheñ bhī niim ḳhvābīda

    sitāre haiñ ki jahāñ par hai āñsuoñ kafan

    hayāt parda-e-shab meñ badaltī hai pahlū

    kuchh aur jaag uThā aadhī raat jaadū

    zamāna kitnā laḌā.ī ko rah gayā hogā

    mire ḳhayāl meñ ab ek baj rahā hogā

    8

    guloñ ne chādar-e-shabnam meñ muñh lapeT liyā

    laboñ pe so ga.ī kaliyoñ muskurāhaT bhī

    zarā bhī sumbul-e-turkī laTeñ nahīñ hiltīñ

    sukūt-e-nīm-shabī hadeñ nahīñ miltīñ

    ab inqalāb meñ shāyad ziyāda der nahīñ

    guzar rahe haiñ ka.ī kārvāñ dhundalke meñ

    sukūt-e-nīm-shabī hai unhīñ ke paañv chaap

    kuchh aur jaag uThā aadhī raat jaadū

    9

    na.ī zamīn nayā āsmāñ na.ī duniyā

    na.e sitāre na.ī gardisheñ na.e din raat

    zamīñ se tā-ba-falak intizār aalam

    fazā-e-zard meñ dhuñdle ġhubār aalam

    hayāt maut-numā intishār aalam

    hai mauj-e-dūd ki dhundlī fazā nabzeñ haiñ

    tamām ḳhastagī-o-māñdgī ye daur-e-hayāt

    thake thake se ye taare thakī thakī ye raat

    ye sard sard ye be-jān phīkī phīkī chamak

    nizām-e-sāniya maut pasīnā hai

    ḳhud apne aap meñ ye kā.enāt Duub ga.ī

    ḳhud apnī kokh se phir jagmagā ke ubhregī

    badal ke kechulī jis tarah naag lahrā.e

    10

    ḳhunuk fazāoñ meñ raqsāñ haiñ chāñd kirneñ

    ki ābgīnoñ pe paḌtī hai narm narm phuvār

    ye mauj-e-ġhaflat-e-ma.asūm ye ḳhumār-e-badan

    ye saañs niiñd meñ Duubī ye aañkh madmātī

    ab aao mere kaleje se lag ke so jaao

    ye palkeñ band karo aur mujh meñ kho jaao

    1

    siyah peD hain ab aap apni parchhain

    zamin se ta-mah-o-anjum sukut ke minar

    jidhar nigah karen ek athah gum-shudgi

    ek ek kar ke fasurda charaghon ki palken

    jhapak gain jo khuli hain jhapakne wali hain

    jhalak raha hai paDa chandni ke darpan mein

    rasile kaif bhare manzaron ka jagta KHwab

    falak pe taron ko pahli jamahiyan aain

    2

    tamoliyon ki dokanen kahin kahin hain khuli

    kuchh unghti hui baDhti hain shah-rahon par

    sawariyon ke baDe ghungruon ki jhankaren

    khaDa hai os mein chup-chap har singar ka peD

    dulhan ho jaise haya ki sugandh se bojhal

    ye mauj-e-nur ye bharpur ye khili hui raat

    ki jaise khilta chala jae ek safed kanwal

    sipah-e-rus hai ab kitni dur berlin se

    jaga raha hai koi aadhi raat ka jadu

    chhalak rahi hai KHum-e-ghaib se sharab-e-wajud

    faza-e-nim-shabi nargis-e-KHumar-alud

    kanwal ki chuTkiyon mein band hai nadi ka suhag

    3

    ye ras ka sej ye sukumar ye sukomal gat

    nayan kamal ki jhapak kaam-rup ka jadu

    ye rasmasai palak ki ghani ghani parchhain

    falak pe bikhre hue chand aur sitaron ki

    chamakti ungliyon se chhiD ke saz fitrat ke

    tarane jagne wale hain tum bhi jag uTho

    4

    shua-e-mahr ne yun un ko chum chum liya

    nadi ke bich kumudni ke phul khil uTThe

    na muflisi ho to kitni hasin hai duniya

    ye jhaen jhaen si rah rah ke ek jhingur ki

    hina ki Tattiyon mein narm sarsarahaT si

    faza ke sine mein KHamosh sansanahaT si

    ye kaenat ab ek nind le chuki hogi

    5

    ye mahw-e-KHwab hain rangin machhliyan tah-e-ab

    ki hauz-e-sehn mein ab in ki chashmaken bhi nahin

    ye sar-nigun hain sar-e-shaKH phul guDhal ke

    ki jaise be-bujhe angare ThanDe paD jaen

    ye chandni hai ki umDa hua hai ras-sagar

    ek aadmi hai ki itna dukhi hai duniya mein

    6

    qarib chand ke manDla rahi hai ek chiDiya

    bhanwar mein nur ke karwaT se jaise naw chale

    ki jaise sina-e-shair mein koi KHwab pale

    wo KHwab sanche mein jis ke nai hayat Dhale

    wo KHwab jis se purana nizam-e-gham badle

    kahan se aati hai madmalti lata ki lipaT

    ki jaise saikDon pariyan gulabiyan chhiDkaen

    ki jaise saikDon ban-dewiyon ne jhule par

    ada-e-KHas se ek sath baal khol diye

    lage hain kan sitaron ke jis ki aahaT par

    is inqalab ki koi KHabar nahin aati

    dil-e-nujum dhaDakte hain kan bajte hain

    7

    ye sans leti hui kaenat ye shab-e-mah

    ye pur-sukun ye pur-asrar ye udas saman

    ye narm narm hawaon ke nil-gun jhonke

    faza ki oT mein mardon ki gungunahaT hai

    ye raat maut ki be-rang muskurahaT hai

    dhuan dhuan se manazir tamam nam-dida

    KHunuk dhundalke ki aankhen bhi nim KHwabida

    sitare hain ki jahan par hai aansuon ka kafan

    hayat parda-e-shab mein badalti hai pahlu

    kuchh aur jag uTha aadhi raat ka jadu

    zamana kitna laDai ko rah gaya hoga

    mere KHayal mein ab ek baj raha hoga

    8

    gulon ne chadar-e-shabnam mein munh lapeT liya

    labon pe so gai kaliyon ki muskurahaT bhi

    zara bhi sumbul-e-turki laTen nahin hiltin

    sukut-e-nim-shabi ki haden nahin miltin

    ab inqalab mein shayad ziyaada der nahin

    guzar rahe hain kai karwan dhundalke mein

    sukut-e-nim-shabi hai unhin ke panw ki chap

    kuchh aur jag uTha aadhi raat ka jadu

    9

    nai zamin naya aasman nai duniya

    nae sitare nai gardishen nae din raat

    zamin se ta-ba-falak intizar ka aalam

    faza-e-zard mein dhundle ghubar ka aalam

    hayat maut-numa intishaar ka aalam

    hai mauj-e-dud ki dhundli faza ki nabzen hain

    tamam KHastagi-o-mandgi ye daur-e-hayat

    thake thake se ye tare thaki thaki si ye raat

    ye sard sard ye be-jaan phiki phiki chamak

    nizam-e-saniya ki maut ka pasina hai

    KHud apne aap mein ye kaenat Dub gai

    KHud apni kokh se phir jagmaga ke ubhregi

    badal ke kechuli jis tarah nag lahrae

    10

    KHunuk fazaon mein raqsan hain chand ki kirnen

    ki aabginon pe paDti hai narm narm phuwar

    ye mauj-e-ghaflat-e-masum ye KHumar-e-badan

    ye sans nind mein Dubi ye aankh madmati

    ab aao mere kaleje se lag ke so jao

    ye palken band karo aur mujh mein kho jao

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Firaq Gorakhpuri

    Firaq Gorakhpuri

    Source:

    Gul-e-Naghma (Pg. 138)

    • Author:  Firaq Gorakhpuri
      • Edition: 2006
      • Publisher: Maktaba Farogh-e-urdu Matia Mahal Jama Masjid Delhi
      • Year of Publication: 2006

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now