Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazr-e-tagore

MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb

    kyā naġhma-hā-e-kaif dariyā bahā gayā

    ḳhud husn ko jahāñ meñ hasīñ-tar banā gayā

    ai shā.ir-e-shabāb-o-navv-sanj-e-zindagī

    misl-e-bahār aa ke aalam pe chhā gayā

    husn nigāh thā aur ishq zabāñ

    gītoñ meñ rañg-o-rūp duniyā basā gayā

    rañgīniyāñ bahār har bikhar ga.ī

    be-kaifī-e-ḳhizāñ kabhī rañg chhā gayā

    TuuTe hue diloñ sadā lab pe aa ga.ī

    naġhma kabhī kaif-o-masarrat gayā

    insāñ ke ġham meñ sīna-e-qudrat bhī shaq huā

    maañ tarah se maut ko bhī pyaar aa gayā

    afsurda zindagī ko milī tujh se tāzgī

    jo dil taḌap rahā thā vo ārām gayā

    kar ke sar-buland vatan ke vaqār ko

    dil meñ har ek fard-e-vatan ke samā gayā

    hindostāñ ko de ke do-ālam azmateñ

    be-navā faqīr gaatā chalā gayā

    kya naghma-ha-e-kaif ka dariya baha gaya

    KHud husn ko jahan mein hasin-tar bana gaya

    ai shair-e-shabab-o-naww-sanj-e-zindagi

    misl-e-bahaar aa ke tu aalam pe chha gaya

    tu husn ki nigah tha aur ishq ki zaban

    giton mein rang-o-rup ki duniya basa gaya

    ranginiyan bahaar ki har su bikhar gai

    be-kaifi-e-KHizan ka kabhi rang chha gaya

    TuTe hue dilon ki sada lab pe aa gai

    naghma kabhi tu kaif-o-masarrat ka ga gaya

    insan ke gham mein sina-e-qudrat bhi shaq hua

    man ki tarah se maut ko bhi pyar aa gaya

    afsurda zindagi ko mili tujh se tazgi

    jo dil taDap raha tha wo aaram pa gaya

    tu kar ke sar-buland watan ke waqar ko

    dil mein har ek fard-e-watan ke sama gaya

    hindostan ko de ke do-alam ki azmaten

    tu be-nawa faqir sa gata chala gaya

    Source:

    نغمۂ زندگی (Pg. 104)

    • Author: جے کرشن چودھری حبیب
      • Publisher: جے کرشن چودھری حبیب

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now