Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aa lagi hai ret

Noon Meem Rashid

aa lagi hai ret

Noon Meem Rashid

MORE BYNoon Meem Rashid

    aa lagī hai ret dīvāroñ ke saath

    saare darvāzoñ ke saath

    surḳh īñToñ chhatoñ par reñgtī hai

    niilī niilī khiḌkiyoñ se jhāñktī hai

    ret

    ret ruk

    khel tai kar leñ

    sunahre taash ke pattoñ se darzoñ

    rauzanoñ ko band kar leñ ret

    ruk

    sust barsāteñ ki jin par dauḌ paḌnā

    jin ko dāñtoñ meñ chabā lenā

    koī mushkil na thā

    ne vo saarī nigal Daalī haiñ raat

    raat ham hañste rahe ai ret

    dīvānī billī thī jo apnī dum ke pīchhe

    ghūmtī jaatī thī

    us ko chāTtī jaatī thī raat

    ret ik umr hai ik vaqt hai

    lekin hameñ

    ḳhud se judā kartī chalī jaatī hai ret

    nā-gahāñ ham sab pe chhā jaane ḳhātir

    ye hamārī maut ban kar taaza kar detī hai

    yādeñ duur der

    ret ko muTThī meñ le kar dekhte haiñ

    apne poroñ se use chhante hue

    ham dekhte haiñ

    apne paañv meñ phisalte dekhte haiñ

    ret par chalte hue

    apne gesū se aT jaate haiñ

    bhar jaate haiñ pairāhan

    hamāre bātinoñ ko chīrtī jaatī hai ret

    phailtī jaatī hai jism-o-jāñ ke har-sū

    ham pe gherā Dāltī jaatī hai

    ret

    ret ik musbat nafī thī

    ret sarhad thī kabhī

    ret aarif aziyyat badal thī

    āñsuoñ ġham pahnā.ī thī ret

    apnī jū.yā.ī thī ret

    ret meñ har-kas the ham

    dūsrā koī na thā

    ret vo duniyā thī jis par dushmanoñ

    mohr lag saktī na thī

    us ko apnā tak koī saktā na thā

    ret par ham sun rahe haiñ aaj

    pīrāna-sarī apnī tanhā.ī

    chaap

    din ke sāhil par utar kar

    aane vaalī raat ke tuude lagātī

    rahī hai

    nā-gahāñ be-nihāyat ko uḌā laa.ī hai

    ret

    dil ke sūne-pan meñ dar aa.ī hai

    ret

    ret

    aa lagi hai ret diwaron ke sath

    sare darwazon ke sath

    surKH inTon ki chhaton par rengti hai

    nili nili khiDkiyon se jhankti hai

    ret

    ret ruk ja

    khel tai kar len

    sunahre tash ke patton se darzon

    rauzanon ko band kar len ret

    ruk ja

    sust barsaten ki jin par dauD paDna

    jin ko danton mein chaba lena

    koi mushkil na tha

    tu ne wo sari nigal Dali hain raat

    raat hum hanste rahe ai ret

    tu diwani billi thi jo apni dum ke pichhe

    ghumti jati thi

    us ko chaTti jati thi raat

    ret ki ek umr hai ek waqt hai

    lekin hamein

    KHud se juda karti chali jati hai ret

    na-gahan hum sab pe chha jaane ki KHatir

    ye hamari maut ban kar taza kar deti hai

    yaaden dur ki ya der ki

    ret ko muTThi mein le kar dekhte hain

    apne poron se use chhante hue

    hum dekhte hain

    apne panw mein phisalte dekhte hain

    ret par chalte hue

    apne gesu se aT jate hain

    bhar jate hain pairahan

    hamare baatinon ko chirti jati hai ret

    phailti jati hai jism-o-jaan ke har-su

    hum pe ghera Dalti jati hai

    ret

    ret ek musbat nafi thi

    ret sarhad thi kabhi

    ret aarif ki aziyyat ka badal thi

    aansuon ki gham ki pahnai thi ret

    apni juyai thi ret

    ret mein har-kas the hum

    dusra koi na tha

    ret wo duniya thi jis par dushmanon ki

    mohr lag sakti na thi

    us ko apna tak koi sakta na tha

    ret par hum sun rahe hain aaj

    pirana-sari ki apni tanhai

    ki chap

    din ke sahil par utar kar

    aane wali raat ke tude lagati

    ja rahi hai

    na-gahan ki be-nihayat ko uDa lai hai

    ret

    dil ke sune-pan mein dar aai hai

    ret

    ret

    Source:

    1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 11)

    • Author: Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
      • Edition: 1972
      • Publisher: P.K. Publishers, New Delhi
      • Year of Publication: 1972
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now