Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazrana

Kaifi Azmi

nazrana

Kaifi Azmi

MORE BYKaifi Azmi

    tum pareshān na ho, bāb-e-karam na karo

    aur kuchh der pukārūñgā chalā jā.ūñgā

    usī kūche meñ jahāñ chāñd ugā karte haiñ

    shab-e-tārīk guzārūñgā, chalā jā.ūñgā

    rāsta bhuul gayā, yahī manzil hai mirī

    koī laayā hai ki ḳhud aayā huuñ ma.alūm nahīñ

    kahte haiñ husn nazreñ bhī hasīñ hotī haiñ

    maiñ bhī kuchh laayā huuñ, kyā laayā huuñ ma.alūm nahīñ

    yuuñ to jo kuchh thā mire paas maiñ sab bech aayā

    kahīñ in.aam milā, aur kahīñ qīmat bhī nahīñ

    kuchh tumhāre liye āñkhoñ meñ chhupā rakkhā hai

    dekh lo aur na dekho to shikāyat bhī nahīñ

    ek to itnī hasīñ dūsre ye ārā.ish

    jo nazar paḌtī hai chehre pe Thahar jaatī hai

    muskurā detī ho rasman bhī agar mahfil meñ

    ik dhanak TuuT ke sīnoñ meñ bikhar jaatī hai

    garm bosoñ se tarāshā huā nāzuk paikar

    jis ik aañch se har ruuh pighal jaatī hai

    maiñ ne sochā hai ki sab sochte hoñge shāyad

    pyaas is tarah bhī kyā sāñche meñ Dhal jaatī hai

    kyā kamī hai jo karogī mirā nazrāna qubūl

    chāhne vaale bahut, chaah ke afsāne bahut

    ek raat sahī garmī-e-hañgāma-e-ishq

    ek raat meñ jal marte haiñ parvāne bahut

    phir bhī ik raat meñ sau tarah ke moḌ aate haiñ

    kaash tum ko kabhī tanhā.ī ehsās na ho

    kaash aisā na ho ghere rahe duniyā tum ko

    aur is tarah ki jis tarah koī paas na ho

    aaj raat jo merī tarah tanhā hai

    maiñ kisī tarah guzārūñgā chalā jā.ūñgā

    tum pareshān na ho, bāb-e-karam na karo

    aur kuchh der pukārūñgā chalā jā.ūñgā

    tum pareshan na ho, bab-e-karam wa na karo

    aur kuchh der pukarunga chala jaunga

    usi kuche mein jahan chand uga karte hain

    shab-e-tarik guzarunga, chala jaunga

    rasta bhul gaya, ya yahi manzil hai meri

    koi laya hai ki KHud aaya hun malum nahin

    kahte hain husn ki nazren bhi hasin hoti hain

    main bhi kuchh laya hun, kya laya hun malum nahin

    yun to jo kuchh tha mere pas main sab bech aaya

    kahin inam mila, aur kahin qimat bhi nahin

    kuchh tumhaare liye aankhon mein chhupa rakkha hai

    dekh lo aur na dekho to shikayat bhi nahin

    ek to itni hasin dusre ye aaraish

    jo nazar paDti hai chehre pe Thahar jati hai

    muskura deti ho rasman bhi agar mahfil mein

    ek dhanak TuT ke sinon mein bikhar jati hai

    garm boson se tarasha hua nazuk paikar

    jis ki ek aanch se har ruh pighal jati hai

    main ne socha hai ki sab sochte honge shayad

    pyas is tarah bhi kya sanche mein Dhal jati hai

    kya kami hai jo karogi mera nazrana qubul

    chahne wale bahut, chah ke afsane bahut

    ek hi raat sahi garmi-e-hangama-e-ishq

    ek hi raat mein jal marte hain parwane bahut

    phir bhi ek raat mein sau tarah ke moD aate hain

    kash tum ko kabhi tanhai ka ehsas na ho

    kash aisa na ho ghere rahe duniya tum ko

    aur is tarah ki jis tarah koi pas na ho

    aaj ki raat jo meri hi tarah tanha hai

    main kisi tarah guzarunga chala jaunga

    tum pareshan na ho, bab-e-karam wa na karo

    aur kuchh der pukarunga chala jaunga

    RECITATIONS

    Javed Naseem

    Javed Naseem,

    Kaifi Azmi

    Kaifi Azmi,

    Javed Naseem

    Nazrana - kaifi azmi Javed Naseem

    Kaifi Azmi

    nazrana Kaifi Azmi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now