Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nilo

MORE BYHabib Jalib

    Interesting Fact

    gyaara farvarii 1965 ko lahore men afro-ashiyai majlis-e-muzaakira ke manduubiin ke liye ek Dinner aur saqaafatii show kaa ehtimaam kiyaa gayaa thaa .is show ke muntazimiin mashshoor filmii adaakaar niilo ke paas aphunche aur use ek saqaafatii show men raqs karne kii daavat dii . jab niilo ne is taqriib shirkat se inkaar karnaa chaahaa to muntazimiin ne jo hukuumat-e-vaqt ke aalaa ohdon par faaiz the ,use dhamkiyaan diin aur be-izzat kiyaa . niilo par is be-izzatii kaa itnaa asar huaa ki us ne kaafii miqdaar men KHvaab aavar goliyaan khaa kar khud kushii karne kii koshish kii . niilo ko be hoshi ke aalam men hospital pahunchaayaa gayaa jahaan doctor ne kaii din kii mehnat ke baad us kii jaan bachaa lii. is vaaqie kaa filmii duniyaa men bahut asar aur shadiid radd-e-amall huaa. pakistan film produsers assosiation aur film star assosiation ne is par shadiid ehtijaaj kiyaa aur ek din kii haDtaal bhii kii . is vaaqoe se muta.assir ho kar habiib jalib ne apni ma.arka aaraa nazm "niilo" raqam kii.. is nazm ko baad-azaa.n film ''zarqa'' men niilo par hi filmaayaa gayaa . is nazm kaa pahlaa band thaa "tuu kii naavaaqif-e-aadaab-e-shahanshaahii thii , raqs zanjiir pahan kar bhii kiyaa jaataa hai, tujh ko inkaar kii jur.at jo huii to kyuun kar , saayaa-e-shaah is tarah jiyaa jaataa hai . mashhoor film saaz hidaayatkaar aur kahaanii naves riyaz shaahid ne niilo kii jur.at aur izzat-e-nafs ko yuu.n khiraaj-e-tahsiin pesh kiyaa ki use shaadii ki peshkash kar dii aur donon rashta-e-azdavaaj men munsalik ho gae ....

    ki nā-vāqif-e-ādāb-e-shahanshāhī thī

    raqs zanjīr pahan kar bhī kiyā jaatā hai

    tujh ko inkār jur.at jo huī to kyūñkar

    sāya-e-shāh meñ is tarah jiyā jaatā hai

    ahl-e-sarvat ye tajvīz hai sarkash laḌkī

    tujh ko darbār meñ koḌoñ se nachāyā jaa.e

    nāchte nāchte ho jaa.e jo paa.el ḳhāmosh

    phir na tā-zīst tujhe hosh meñ laayā jaa.e

    log is manzar-e-jāñkāh ko jab dekheñge

    aur baḌh jā.egā kuchh satvat-e-shāhī jalāl

    tere anjām se har shaḳhs ko ibrat hogī

    sar uThāne re.āyā ko na aa.egā ḳhayāl

    tab-e-shāhāna pe jo log girāñ hote haiñ

    haañ unheñ zahr bharā jaam diyā jaatā hai

    ki nā-vāqif-e-ādāb-e-shahanshāhī thī

    raqs zanjīr pahan kar bhī kiyā jaatā hai

    tu ki na-waqif-e-adab-e-shahanshahi thi

    raqs zanjir pahan kar bhi kiya jata hai

    tujh ko inkar ki jurat jo hui to kyunkar

    saya-e-shah mein is tarah jiya jata hai

    ahl-e-sarwat ki ye tajwiz hai sarkash laDki

    tujh ko darbar mein koDon se nachaya jae

    nachte nachte ho jae jo pael KHamosh

    phir na ta-zist tujhe hosh mein laya jae

    log is manzar-e-jaankah ko jab dekhenge

    aur baDh jaega kuchh satwat-e-shahi ka jalal

    tere anjam se har shaKHs ko ibrat hogi

    sar uThane ka reaya ko na aaega KHayal

    tab-e-shahana pe jo log giran hote hain

    han unhen zahr bhara jam diya jata hai

    tu ki na-waqif-e-adab-e-shahanshahi thi

    raqs zanjir pahan kar bhi kiya jata hai

    Source:

    Kulliyat Habeeb Jalib (Pg. 219)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now