Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghaalib

MORE BYMakhdoom Mohiuddin

    tum jo aa jaao aaj dillī meñ

    ḳhud ko pāoge ajnabī tarah

    tum phiroge bhaTakte rastoñ meñ

    ek be-chehra zindagī tarah

    din hai dast-e-ḳhasīñ mānind

    raat hai dāman-e-tahī tarah

    panja-e-zar-garī o zar-gīrī

    aam hai rasm-e-rahzanī tarah

    aaj har mai-kade meñ hai kohrām

    har galī hai tirī galī tarah

    vo zabāñ jis naam hai urdu

    uTh na jaa.e kahīñ ḳhushī tarah

    ham-zabāñ kuchh idhar udhar saa.e

    nazar ā.eñge aadmī tarah

    tum the apnī shikast āvāz

    aaj sab chup haiñ munsifī tarah

    aa rahī hai nidā bahāroñ se

    ek gumnām raushnī tarah

    is añdhere meñ ik rupahlī lakīr

    ek āvāz-e-haq nabī tarah!

    tum jo aa jao aaj dilli mein

    KHud ko paoge ajnabi ki tarah

    tum phiroge bhaTakte raston mein

    ek be-chehra zindagi ki tarah

    din hai dast-e-KHasin ki manind

    raat hai daman-e-tahi ki tarah

    panja-e-zar-gari o zar-giri

    aam hai rasm-e-rahzani ki tarah

    aaj har mai-kade mein hai kohram

    har gali hai teri gali ki tarah

    wo zaban jis ka nam hai urdu

    uTh na jae kahin KHushi ki tarah

    ham-zaban kuchh idhar udhar sae

    nazar aaenge aadmi ki tarah

    tum the apni shikast ki aawaz

    aaj sab chup hain munsifi ki tarah

    aa rahi hai nida bahaaron se

    ek gumnam raushni ki tarah

    is andhere mein ek rupahli lakir

    ek aawaz-e-haq nabi ki tarah!

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Makhdoom Mohiuddin

    Makhdoom Mohiuddin

    Source:

    Kulliyat-e-Makhdum Muhi-ud-din (Pg. 237)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now