aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shri lal bahadur shastari wazir-e-azam hind

Talib Chakwali

shri lal bahadur shastari wazir-e-azam hind

Talib Chakwali

MORE BYTalib Chakwali

    Interesting Fact

    Died on 11th Jan 1966 in Tashkent

    ai bahādur-lāl ai bhārat supūt

    thā amn-o-āshtī pāsdār

    amn ḳhātir gayā thā tāshqand

    ne kar jaan bhī us par nisār

    amn-o-sul.h-o-jañg meñ yaktā thā

    bhārtī tahzīb ā.īna-dār

    paikar-e-ijz-o-ḳhulūs-o-sādgī

    thā tahzīb-o-tamaddun nikhār

    ne yak-jihatī atā qaum ko

    ektā daan bhārat ko diyā

    sar huā ūñchā hamārā har jagah

    ne vo sammān bhārat ko diyā

    azm terā āhanī dīvār thā

    salmiyat mulk thī terī jaan

    shān-e-mulk-o-qaum thī pesh-e-nazar

    tujh ko apnī jaan se baḌh kar thī aan

    ho ga.ī gul sham.a de kar raushnī

    tāqateñ amn-o-amāñ DaT ga.iiñ

    zindagī ke saath vābasta hai maut

    ye haqīqat hai magar kitnī ajiib

    ham ko ye ehsās hotā nahīñ

    zindagī se maut hai utnī qarīb

    zulmat-e-shab se sahar dilkashī

    yaas se ummīd raushan hai naam

    maut ke roke bhī ruk saktā nahīñ

    zindagī kārvāñ tez-gām

    hind hai is qāfile rahnumā

    kārvāñ-sālār mīr-e-kārvāñ

    amn-e-ālam alam-bardār hai

    amn-parvar sulh-jū hindostāñ

    ai bahadur-lal ai bhaarat suput

    tu tha amn-o-ashti ka pasdar

    amn ki KHatir gaya tha tashqand

    tu ne kar di jaan bhi us par nisar

    amn-o-sulh-o-jang mein yakta tha tu

    bhaarti tahzib ka aaina-dar

    paikar-e-ijz-o-KHulus-o-sadgi

    tu tha tahzib-o-tamaddun ka nikhaar

    tu ne yak-jihati ata ki qaum ko

    ekta ka dan bhaarat ko diya

    sar hua uncha hamara har jagah

    tu ne wo samman bhaarat ko diya

    azm tera aahani diwar tha

    salmiyat mulk ki thi teri jaan

    shan-e-mulk-o-qaum thi pesh-e-nazar

    tujh ko apni jaan se baDh kar thi aan

    ho gai gul shama de kar raushni

    taqaten amn-o-aman ki DaT gain

    zindagi ke sath wabasta hai maut

    ye haqiqat hai magar kitni ajib

    hum ko ye ehsas hota hi nahin

    zindagi se maut hai utni qarib

    zulmat-e-shab se sahar ki dilkashi

    yas se ummid ka raushan hai nam

    maut ke roke bhi ruk sakta nahin

    zindagi ka karwan tez-gam

    hind hai is qafile ka rahnuma

    karwan-salar mir-e-karwan

    amn-e-alam ka alam-bardar hai

    amn-parwar sulh-ju hindostan

    Source:

    Barg-e-Zard (Pg. 16)

    • Author: Talib Chakwali
      • Edition: 1980
      • Publisher: Manohar Parkashan, New Delhi
      • Year of Publication: 1980

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now