Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisan

MORE BYMaikash Akbarabadi

    barahna jism pasīne meñ ġharq nange paañv

    magar sukūn hai yuuñ dil meñ jaise ThanDī chhāñv

    gehūñ ke khet se kuTiyā meñ apnī aayā hai

    tasavvurāt duniyā bhī saath laayā hai

    hai ik phaTī huī kambal ġharīb kāñdhoñ par

    siyāh abr pe rah rah kar uTh rahī hai nazar

    paḌā hai khet sāmān ek kone meñ

    haiñ is ziist ke asrār ke khone meñ

    nafas hai phūlī huī jaise phūñk bhatte

    rakhī hai kaan pe biiḌī banā ke patte

    lahū lahr hai maujzan pasīne meñ

    baqā-e-dahr hai raaz us ko jiine meñ

    har ek saañs hai is bahār-e-āzādī

    ki is ġhulām dil hai dayār-e-āzādī

    barahna jism pasine mein gharq nange panw

    magar sukun hai yun dil mein jaise ThanDi chhanw

    gehun ke khet se kuTiya mein apni aaya hai

    tasawwuraat ki duniya bhi sath laya hai

    hai ek phaTi hui kambal gharib kandhon par

    siyah abr pe rah rah kar uTh rahi hai nazar

    paDa hai khet ka saman ek kone mein

    hain is ki zist ke asrar pa ke khone mein

    nafas hai phuli hui jaise phunk bhatte ki

    rakhi hai kan pe biDi bana ke patte ki

    lahu ki lahr si hai maujzan pasine mein

    baqa-e-dahr ka hai raaz us ko jine mein

    har ek sans hai is ki bahaar-e-azadi

    ki is ghulam ka dil hai dayar-e-azadi

    Source:

    Maikhana (Pg. E-67 B-52)

    • Author: Maikash Akbarabadi
      • Edition: 1974
      • Publisher: Vila Academy, Hyderabad
      • Year of Publication: 1974

    This content features in following collection(s)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now