Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhein pyar hai, to yaqin do,

Arif Ishtiaque

tumhein pyar hai, to yaqin do,

Arif Ishtiaque

MORE BYArif Ishtiaque

    tumheñ pyaar hai, to yaqīn do,

    mujhe na kaho, tumheñ pyaar hai, mujhe dekhne na zid karo,

    tumheñ fikr ho, mire haal kii,

    koī guftugū ho malāl kii,

    jo ḳhayāl ho, na kiyā karo,

    na kahā karo mirī fikr hai

    maiñ azīz-tar huuñ jahān se

    īmān se, na kahā karo,

    na likhā karo mujhe varaq par, kisī farsh par,

    na udaas ho, na ḳhush raho

    mujhe soch kar, kharoch kar, merī yaad ko na āvāz do,

    mujhe ḳhat meñ likh ke ḳhudāoñ na do vāsta

    tumheñ pyaar meñ na qarār hai, mujhe is zabāñ yaqīn nahīñ

    kuchh aur ho, jo sunā na ho, jo kahā na ho jo likhā na ho

    to yaqīn ho!

    ruko aur thoḌā zabt lo, mujhe soch lene ko vaqt do,

    chalo yuuñ karo mire vāste ki buland-o-bālā imāratoñ lo jā.eza

    jo falak ko bosa lagā rahī hoñ imārateñ,

    jo tumhāre pyaar se le rahī hoñ mushābahateñ

    jo ho sab se ziyāda buland-o-bālā alag-thalag

    use sar karo,

    use chhat talak, haañ yahīñ ruko, ye vo hai chhat,

    zarā saañs lene ko qayām lo, mirā naam lo,

    to safar saarī thakan yahīñ pe utaar lo,

    ab! mire tumhāre jo darmiyāñ meñ hai fāsla, vo zarā hai,

    vo miTā sako, to ġhurūr Dhātī bulandiyoñ ko phalāñg do!

    tumheñ pyaar hai to yaqīn do!!

    tumhein pyar hai, to yaqin do,

    mujhe na kaho, tumhein pyar hai, mujhe dekhne ki na zid karo,

    tumhein fikr ho, mere haal ki,

    koi guftugu ho malal ki,

    jo KHayal ho, na kiya karo,

    na kaha karo meri fikr hai

    main aziz-tar hun jahan se

    ya iman se, na kaha karo,

    na likha karo mujhe waraq par, kisi farsh par,

    na udas ho, na hi KHush raho

    mujhe soch kar, ya kharoch kar, meri yaad ko na aawaz do,

    mujhe KHat mein likh ke KHudaon ka na do wasta

    tumhein pyar mein na qarar hai, mujhe is zaban ka yaqin nahin

    kuchh aur ho, jo suna na ho, jo kaha na ho jo likha na ho

    to yaqin ho!

    ruko aur thoDa sa zabt lo, mujhe soch lene ko waqt do,

    chalo yun karo mere waste ki buland-o-baala imaraton ka lo jaeza

    jo falak ko bosa laga rahi hon imaraten,

    jo tumhaare pyar se le rahi hon mushabahaten

    jo ho sab se ziyaada buland-o-baala alag-thalag

    use sar karo,

    use chhat talak, han yahin ruko, ye wo hi hai chhat,

    zara sans lene ko qayam lo, mera nam lo,

    to safar ki sari thakan yahin pe utar lo,

    ab! mere tumhaare jo darmiyan mein hai fasla, wo zara sa hai,

    wo miTa sako, to ghurur Dhati bulandiyon ko phalang do!

    tumhein pyar hai to yaqin do!!

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now