aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qanun-e-qudrat

Ahmad Nadeem Qasmi

qanun-e-qudrat

Ahmad Nadeem Qasmi

MORE BYAhmad Nadeem Qasmi

    galiyoñ sham.eñ bujh ga.iiñ aur shahr suunā ho gayā

    bijlī khambā thaam kar bāñkā sipāhī so gayā

    tārīkiyoñ deviyāñ karne lagīñ sargoshiyāñ

    ik dhīmī dhīmī taan meñ gaane lagīñ ḳhāmoshiyāñ

    mashriq ke parbat se vare ubhrīñ ghaTā.eñ yak-ba-yak

    añgḌā.iyāñ lene lagīñ be-ḳhud havā.eñ yak-ba-yak

    taare nigaltī badliyāñ chāroñ taraf chhāne lagīñ

    chham-chham phuvāroñ jhaḌī dhartī pe barsāne lagīñ

    kutte achānak chauñk kar bhoñkeñ dubak kar so ga.e

    be-ras chachoḌī haDDiyoñ lazzatoñ meñ kho ga.e

    maa.eñ lapaktī haiñ kahīñ bachche bilakte haiñ kahīñ

    aur khaaT lene ke liye būḌhe uchakte haiñ kahīñ

    ik sarsarāhaT uThī lahrā.ī tham kar rah ga.ī

    har chiiz ne āñkheñ malīñ har chiiz jam kar rah ga.ī

    phir gungunātī zulmatoñ sehr har-sū chhā gayā

    bādal kahīñ gum hoga.e tāroñ pe jauban aa gayā

    qudarat ke sab chhoTe baḌe qānūn haiñ yaksāñ magar

    parde paḌe haiñ jā-ba-jā chhantī nahīñ jin se nazar

    insān ma.asūm dil tārīk suunā shahr hai

    jis ke tale ehsās chiñgāriyoñ lahar hai

    jab dekhtā hai vo kahīñ badmast panghaT vāliyāñ

    gāloñ ko jin ke chūmtī haiñ patlī patlī bāliyāñ

    zulfeñ ghaTāoñ tarah āñkheñ sitāroñ tarah

    chalnā havāoñ tarah rañgat sharāroñ tarah

    lahñge lahroñ ke tale makkhan se paañv raqs meñ

    pagDanDiyoñ ke us taraf gāgar chhāñv raqs meñ

    siine chhalakte mai-kade aur hoñT paimānoñ ke lab

    Taḳhnoñ pe bajtī jhāñjhneñ hañsnā-hañsānā be-sabab

    ye dekh kar añgḌā.iyāñ letā hai dil insān

    aur us har dhaḌkan pe hotā hai gumāñ tūfān

    galiyoñ meñ chhup jaatī haiñ jab ye chaltī-phirtī bijliyāñ

    hotā hai taarī ruuh par sunsān rātoñ samāñ

    galiyon ki shamen bujh gain aur shahr suna ho gaya

    bijli ka khamba tham kar banka sipahi so gaya

    tarikiyon ki dewiyan karne lagin sargoshiyan

    ek dhimi dhimi tan mein gane lagin KHamoshiyan

    mashriq ke parbat se ware ubhrin ghaTaen yak-ba-yak

    angDaiyan lene lagin be-KHud hawaen yak-ba-yak

    tare nigalti badliyan chaaron taraf chhane lagin

    chham-chham phuwaron ki jhaDi dharti pe barsane lagin

    kutte achanak chaunk kar bhonken dubak kar so gae

    be-ras chachoDi haDDiyon ki lazzaton mein kho gae

    maen lapakti hain kahin bachche bilakte hain kahin

    aur khaT lene ke liye buDhe uchakte hain kahin

    ek sarsarahaT si uThi lahrai tham kar rah gai

    har chiz ne aankhen malin har chiz jam kar rah gai

    phir gungunati zulmaton ka sehr har-su chha gaya

    baadal kahin gum hogae taron pe jauban aa gaya

    qudarat ke sab chhoTe baDe qanun hain yaksan magar

    parde paDe hain ja-ba-ja chhanti nahin jin se nazar

    insan ka masum dil tarik suna shahr hai

    jis ke tale ehsas ki chingariyon ki lahar hai

    jab dekhta hai wo kahin badmast panghaT waliyan

    galon ko jin ke chumti hain patli patli baaliyan

    zulfen ghaTaon ki tarah aankhen sitaron ki tarah

    chalna hawaon ki tarah rangat shararon ki tarah

    lahnge ki lahron ke tale makkhan se panw raqs mein

    pagDanDiyon ke us taraf gagar ki chhanw raqs mein

    sine chhalakte mai-kade aur honT paimanon ke lab

    TaKHnon pe bajti jhanjhnen hansna-hansana be-sabab

    ye dekh kar angDaiyan leta hai dil insan ka

    aur us ki har dhaDkan pe hota hai guman tufan ka

    galiyon mein chhup jati hain jab ye chalti-phirti bijliyan

    hota hai tari ruh par sunsan raaton ka saman

    Source:

    meri behtareen nazam (Pg. 25)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now