aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qissa gul-baadshah ka

Zehra Nigaah

qissa gul-baadshah ka

Zehra Nigaah

MORE BYZehra Nigaah

    naam merā hai gul-bādshāh

    umr merī hai terah baras

    aur kahānī

    merī umar tarah se muntashir muntashir

    muḳhtasar muḳhtasar

    merī be-nām be-chehra maañ

    be-davā mar ga.ī

    baap ne us ko burqe meñ dafnā diyā

    us ko Dar thā ki munkir-nakīr

    merī ammāñ chehra na dekheñ

    vaise zinda thii, jab bhī vo madfūn thī

    baap naam zar-tāj-gul

    umar battīs baras

    vo mujāhid shahādat tālib rāh-e-haq musāfir huā

    aur jām-e-shahādat bhī us ne

    apne bhaa.ī ke hāthoñ piyā

    jo shumālī mujāhid thā

    aur panj-vaqta namāzī bhī thā

    mas.ala is shahādat pechīda hai

    is ko behtar yahī hai yahīñ chhoḌ deñ

    ab bahar-hāl baabā to jannat meñ hai

    us ke hāthoñ meñ jām-e-tuhūr

    us bāñhoñ meñ huur o qusūr

    merī taqdīr meñ bam-dhamāke dhuāñ

    pighaltī huī ye zamīn

    bikhartā huā āsmāñ

    bād-az-marg vo zinda hai

    zindagī mujh se sharminda hai

    2

    kal sar-e-shām dushman ne aate hue

    bam ke hamrāh barsā diye

    mujh pe kuchh piile thaile

    jin se mujh ko mile

    gol roTī ke TukḌe

    ek makkhan Tikiyā

    ek sharbat botal

    murabbe Dabbā

    is ke badle meñ vo le ga.e

    mere bhaa.ī dast-e-mashaqqat

    jis meñ minnat Dorā bañdhā thā

    merī chhoTī bahan vo paañv

    jis se rañg-e-hinā phūTtā thā

    log kahte haiñ ye amn jañg hai

    amn jañg meñ hamla-āvar

    sirf bachchoñ ko be-dast-o-pā chhoḌte haiñ

    un ko bhūkā nahīñ chhoḌte

    āḳhir insāniyat bhī koī chiiz hai

    maiñ dahakte pahāḌoñ meñ tanhā

    apne tarke bandūq thāme khaḌā huuñ

    tamāshā-e-ahl-e-karam dekhtā thā

    tamāshā-e-ahl-e-karam dekhtā huuñ

    nam mera hai gul-baadshah

    umr meri hai terah baras

    aur kahani

    meri umar ki tarah se muntashir muntashir

    muKHtasar muKHtasar

    meri be-nam be-chehra man

    be-dawa mar gai

    bap ne us ko burqe mein dafna diya

    us ko Dar tha ki munkir-nakir

    meri amman ka chehra na dekhen

    waise zinda thi, jab bhi wo madfun thi

    bap ka nam zar-taj-gul

    umar battis baras

    wo mujahid shahadat ka talib rah-e-haq ka musafir hua

    aur jam-e-shahadat bhi us ne

    apne bhai ke hathon piya

    jo shumali mujahid tha

    aur panj-waqta namazi bhi tha

    masala is shahadat ka pechida hai

    is ko behtar yahi hai yahin chhoD den

    ab bahar-haal baba to jannat mein hai

    us ke hathon mein jam-e-tuhur

    us ki banhon mein hur o qusur

    meri taqdir mein bam-dhamake dhuan

    pighalti hui ye zamin

    bikharta hua aasman

    baad-az-marg wo zinda hai

    zindagi mujh se sharminda hai

    2

    kal sar-e-sham dushman ne aate hue

    bam ke hamrah barsa diye

    mujh pe kuchh pile thaile

    jin se mujh ko mile

    gol roTi ke TukDe

    ek makkhan ki Tikiya

    ek sharbat ki botal

    murabbe ka Dabba

    is ke badle mein wo le gae

    mere bhai ka dast-e-mashaqqat

    jis mein minnat ka Dora bandha tha

    meri chhoTi bahan ka wo panw

    jis se rang-e-hina phuTta tha

    log kahte hain ye amn ki jang hai

    amn ki jang mein hamla-awar

    sirf bachchon ko be-dast-o-pa chhoDte hain

    un ko bhuka nahin chhoDte

    aaKHir insaniyat bhi koi chiz hai

    main dahakte pahaDon mein tanha

    apne tarke ki banduq thame khaDa hun

    tamasha-e-ahl-e-karam dekhta tha

    tamasha-e-ahl-e-karam dekhta hun

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Javed Akhtar

    Javed Akhtar

    RECITATIONS

    Azra Naqvi

    Azra Naqvi,

    Javed Akhtar

    Javed Akhtar,

    Zehra Nigaah

    Zehra Nigaah,

    Azra Naqvi

    qissa gul-baadshah ka Azra Naqvi

    Javed Akhtar

    qissa gul-baadshah ka Javed Akhtar

    Zehra Nigaah

    qissa gul-baadshah ka Zehra Nigaah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now