Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rah-e-farar

Akhtarul Iman

rah-e-farar

Akhtarul Iman

MORE BYAkhtarul Iman

    idhar se na jaao

    idhar raah meñ ek būḌhā khaḌā hai

    jo peshāniyoñ aur chehroñ

    pe aisī bhabhūt ek mal degā sab jhurriyāñ phaT paḌeñgī

    siyah, maar jaise, chamakte hue kaale bāloñ

    pe aisī sapīdī umañD aa.egī kuchh tadāruk nahīñ jis koī

    koī rāsta aur DhūñDo

    ki is pīr-e-fartūt tez nazroñ se bach kar

    nikal jaa.eñ aur is zad meñ na aa.eñ kabhī ham

    idhar se na jaao

    idhar maiñ ne ik shaḳhs ko jaate dekhā hai aksar

    javānoñ ko jo raah meñ rok letā hai un se

    vahīñ bāteñ kartā hai mil kar

    jo suqrāt kartā thā yūnān ke manchaloñ se

    yaqīnan use ek din zahr piinā paḌegā

    idhar se na jaao

    idhar raushnī hai

    kahīñ aao chhup jaa.eñ jākar tamām āfatoñ se

    mujhe ek tah-ḳhāna ma.alūm hai ḳhushnumā

    jo shāhān-e-dehlī ne banvāyā thā is ġharaz se

    ki abdāliyoñ, nādirī fauj dastaras se

    bacheñ aur baiThe raheñ saare hañgāmoñ zad se haT kar

    ye dar-asl mīrās hai aap merī sab

    salātīn-e-dehlī se pahle kisī aur ne is buniyād rakkhī thī lekin

    vo ab qabl-e-tārīḳh baat hai kaun jaane

    idhar se na jaao

    idhar shāh-nādir nahīñ aaj koī bhī lekin

    vahī qatl-e-ām aaj bhī ho rahā hai

    ye mīrās hai aap merī sab

    ye sauġhāt bairūnī hākim hameñ de ga.e haiñ

    chalo sāmne ke añdhere meñ ghus kar

    utar jaa.eñ tah-ḳhāne ḳhāmushī meñ

    ye sab khiḌkiyāñ band kar deñ

    koī chīḳhne bain karne āvāz ham tak na aa.e

    koī ḳhuun chhīñT dāman pe aakar na baiThe

    kabhī tum ne gāñjā piyā hai?

    koī bhañg shauq, koī jaḌī-būTī khaa.ī

    na koken afyūn kuchh bhī

    kabhī koī nashsha nahīñ tum ne chakkhā

    na aġhlām-e-amrd-parastī se rishta rahā hai

    koī tajraba bhī nahīñ zindagī kaa?

    fasādāt dekhe the taqsīm ke vaqt tum ne

    havā meñ uchhalte hue DanThaloñ tarah shīr-ḳhvāroñ ko dekhā thā kaTte

    aur pistāñ-burīda javāñ laḌkiyāñ tum ne dekhī thiiñ kyā bain karte?

    nahīñ ye to nashsha nahīñ tajraba bhī nahīñ aisā koī

    ye ik sāneha hai

    farāmosh-gārī ehsān maano

    ye sab kal bāteñ haiñ, bosīda bāteñ

    jinheñ bhuul jaanā behtar

    farāmosh-gārī bhī

    ik ne.amat-e-be-bahā hai

    idhar se na jaao

    koī raah meñ rok legā

    nayā koī ḳhatra nayā mas.ala koī jis ko

    na sochā na samjhā na ehsās hai jis ab tak

    koī aisī sūrat nikālo

    ye sab āfateñ apnā dāman na pakḌeñ

    koī aur rāh-e-farār aisī DhūñDo

    ki ham zindagī ke jahannam ko jannat samajh leñ!

    idhar se na jao

    idhar rah mein ek buDha khaDa hai

    jo peshaniyon aur chehron

    pe aisi bhabhut ek mal dega sab jhurriyan phaT paDengi

    siyah, mar jaise, chamakte hue kale baalon

    pe aisi sapidi umanD aaegi kuchh tadaruk nahin jis ka koi

    koi rasta aur DhunDo

    ki is pir-e-fartut ki tez nazron se bach kar

    nikal jaen aur is ki zad mein na aaen kabhi hum

    idhar se na jao

    idhar main ne ek shaKHs ko jate dekha hai aksar

    jawanon ko jo rah mein rok leta hai un se

    wahin baaten karta hai mil kar

    jo suqraat karta tha yunan ke manchalon se

    yaqinan use ek din zahr pina paDega

    idhar se na jao

    idhar raushni hai

    kahin aao chhup jaen jakar tamam aafaton se

    mujhe ek tah-KHana malum hai KHushnuma sa

    jo shahan-e-dehli ne banwaya tha is gharaz se

    ki abdaliyon, nadiri fauj ki dastaras se

    bachen aur baiThe rahen sare hangamon ki zad se haT kar

    ye dar-asl miras hai aap ki meri sab ki

    salatin-e-dehli se pahle kisi aur ne is ki buniyaad rakkhi thi lekin

    wo ab qabl-e-tariKH ki baat hai kaun jaane

    idhar se na jao

    idhar shah-nadir nahin aaj koi bhi lekin

    wahi qatl-e-am aaj bhi ho raha hai

    ye miras hai aap ki meri sab ki

    ye saughat bairuni hakim hamein de gae hain

    chalo samne ke andhere mein ghus kar

    utar jaen tah-KHane ki KHamushi mein

    ye sab khiDkiyan band kar den

    koi chiKHne bain karne ki aawaz hum tak na aae

    koi KHun ki chhinT daman pe aakar na baiThe

    kabhi tum ne ganja piya hai?

    koi bhang ka shauq, koi jaDi-buTi khai

    na koken afyun kuchh bhi

    kabhi koi nashsha nahin tum ne chakkha

    na aghlam-e-amrd-parasti se rishta raha hai

    koi tajraba bhi nahin zindagi ka?

    fasadat dekhe the taqsim ke waqt tum ne

    hawa mein uchhalte hue DanThalon ki tarah shir-KHwaron ko dekha tha kaTte

    aur pistan-burida jawan laDkiyan tum ne dekhi thin kya bain karte?

    nahin ye to nashsha nahin tajraba bhi nahin aisa koi

    ye ek saneha hai

    faramosh-gari ka ehsan mano

    ye sab kal ki baaten hain, bosida baaten

    jinhen bhul jaana behtar

    faramosh-gari bhi

    ek neamat-e-be-baha hai

    idhar se na jao

    koi rah mein rok lega

    naya koi KHatra naya masala koi jis ko

    na socha na samjha na ehsas hai jis ka ab tak

    koi aisi surat nikalo

    ye sab aafaten apna daman na pakDen

    koi aur rah-e-farar aisi DhunDo

    ki hum zindagi ke jahannam ko jannat samajh len!

    RECITATIONS

    Akhtarul Iman

    Akhtarul Iman,

    Akhtarul Iman

    rah-e-farar Akhtarul Iman

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now