Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat guzarne wali hai

Zareef Jabalpuri

raat guzarne wali hai

Zareef Jabalpuri

MORE BYZareef Jabalpuri

    detā hai ḳhabar anjām ki saaqī raat guzarne vaalī hai

    aur din hai paiġhām ki saaqī raat guzarne vaalī hai

    maiñ terī har kal jāntā huuñ kyā kal kal kal kal kartā hai

    ab chhoḌ ye kaaf aur laam ki saaqī raat guzarne vaalī hai

    advance meñ paise de denā tauhīn-e-rindī o mastī hai

    bil bhej ke lenā daam ki saaqī raat guzarne vaalī hai

    gar ek botal baaqī hai aur piine vaale itne haiñ

    kar botal ko nīlām ki saaqī raat guzarne vaalī hai

    paisoñ to bilkul fikr na kar tanḳhvāh milī aur maiñ ne diye

    ab to pilā ik jaam ki saaqī raat guzarne vaalī hai

    jo bhang pilā.ī thī ne us bhang nashsha khul na sakā

    kuchh misrī aur bādām ki saaqī raat guzarne vaalī hai

    suntā huuñ ki bādal uThe haiñ aur ole paḌne vaale haiñ

    ab jald bulā hajjām ki saaqī raat guzarne vaalī hai

    rindoñ ko ġharaz hai piine se whiskey na sahī Tharrā sahī

    chal jā.egā yuuñ bhī kaam ki saaqī raat guzarne vaalī hai

    thoḌī thoḌī sab ko pilā varna tire sar aa jā.egā

    kanjūsī ilzām ki saaqī raat guzarne vaalī hai

    zāhid ko pilā vaa.iz ko pilā mullā ko pilā muftī ko pilā

    sab likh le hamāre naam ki saaqī raat guzarne vaalī hai

    deta hai KHabar anjam ki saqi raat guzarne wali hai

    aur din ka hai paigham ki saqi raat guzarne wali hai

    main teri har kal jaanta hun kya kal kal kal kal karta hai

    ab chhoD ye kaf aur lam ki saqi raat guzarne wali hai

    adwance mein paise de dena tauhin-e-rindi o masti hai

    bil bhej ke lena dam ki saqi raat guzarne wali hai

    gar ek hi botal baqi hai aur pine wale itne hain

    kar botal ko nilam ki saqi raat guzarne wali hai

    paison ki to bilkul fikr na kar tanKHwah mili aur main ne diye

    la ab to pila ek jam ki saqi raat guzarne wali hai

    jo bhang pilai thi tu ne us bhang ka nashsha khul na saka

    kuchh misri aur baadam ki saqi raat guzarne wali hai

    sunta hun ki baadal uThe hain aur ole paDne wale hain

    ab jald bula hajjam ki saqi raat guzarne wali hai

    rindon ko gharaz hai pine se whiskey na sahi Tharra hi sahi

    chal jaega yun bhi kaam ki saqi raat guzarne wali hai

    tu thoDi thoDi sab ko pila warna tere sar aa jaega

    kanjusi ka ilzam ki saqi raat guzarne wali hai

    zahid ko pila waiz ko pila mulla ko pila mufti ko pila

    sab likh le hamare nam ki saqi raat guzarne wali hai

    Source:

    Farman-e-Zarafat (Pg. 84)

    • Author: Zareef Jabalpuri
      • Publisher: Adabi Press, Karachi
      • Year of Publication: 1952
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now