Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat sunsan hai

Mustafa Zaidi

raat sunsan hai

Mustafa Zaidi

MORE BYMustafa Zaidi

    mez chup-chāp ghaḌī band kitābeñ ḳhāmosh

    apne kamre udāsī pe taras aatā hai

    merā kamra jo mire dil har ik dhaḌkan ko

    sāl-hā-sāl se chup-chāp gine jaatā hai

    johd-e-hastī kaḌī dhuup meñ thak jaane par

    jis āġhosh ne baḳhshā hai mujhe maañ ḳhulūs

    jis ḳhāmosh ināyat suhānī yādeñ

    loriyāñ ban ke mire dil meñ samā jaatī haiñ

    merī tanhā.ī ke ehsās ko zaa.il karne

    jis dīvāreñ mire paas chalī aatī haiñ

    sāmne taaq pe rakkhī huī do tasvīreñ

    aksar auqāt mujhe pyaar se yuuñ taktī haiñ

    jaise maiñ duur kisī des shahzāda huuñ

    merā kamra mire maazī haqīqī mūnis

    aaj har fikr har ehsās se begāna hai

    apne hamrāz kivāḌoñ ke ahāte ke evaz

    aaj maiñ jaise mazāroñ pe chalā aayā huuñ

    gard-ālūda calendar pe ajantā ke nuqūsh

    mere chehre lakīroñ taraf dekhte haiñ

    jaise ik laash phailī huī be-bas āñkheñ

    apne majbūr azīzoñ ko takā kartī haiñ

    ye kitābeñ bhī mirā saath nahīñ detīñ aaj

    'keats' nazm 'arastū' ke hakīmāna qaul

    sañg-marmar imārat tarah sākit haiñ

    kuchh baat kar ai mere dhaḌakte hue dil

    ik merā sahārā hai mirā mūnis hai

    is sard añdhere meñ charāġhāñ kar de

    laxmī-devī to mirī baat nahīñ sun saktīñ

    mujh ko ma.alūm hai kyā biit chukī hai tujh par

    mere chehre ke sulagte hue zaḳhmoñ ko bhī dekh

    merī āñkhoñ pe mirī fikr pe pābandī hai

    maiñ use chāhūñ bhī to yaad nahīñ kar saktā

    use kho ke machal saktā hai ro saktā hai

    aur maiñ luT ke bhī fariyād nahīñ kar saktā

    isī ā.īne ne dekhe haiñ hamāre jhagḌe

    yahī ziina hai jahāñ maiñ ne use chūmā thā

    in qamīzoñ meñ in uljhe hue rumāloñ meñ

    us ke bāloñ mahak aaj bhī āsūda hai

    jo kabhī merī thī inkār pe bhī merī thī

    ab faqat bazm-e-tasavvur meñ nazar aatī hai

    raat bhar jaag ke likkhī huī tahrīroñ se

    ab bhī un āñkhoñ tasvīr ubhar aatī hai

    chāñdnī khul ke nikhar aa.ī hai darvāze par

    os se bhīgte jaate haiñ purāne gamle

    kis qadar narm hai kaliyoñ suhānā saaya

    jaise vo hoñT jinheñ ke bhī maiñ na sakā

    ai taḌapte hue dil aur sambhal aur sambhal

    ye tirī chaap se jaag uTTheñgī to kyā hogā

    sub.h kyā jaane kahāñ hotī hai kab hotī hai

    jaane insān ne kis vaqt ye ne.amat paa.ī

    merī qismat meñ bas ik silsila-e-shām-o-sahar

    mere kamre ke muqaddar meñ faqat tanhā.ī

    mez chup-chap ghaDi band kitaben KHamosh

    apne kamre ki udasi pe taras aata hai

    mera kamra jo mere dil ki har ek dhaDkan ko

    sal-ha-sal se chup-chap gine jata hai

    johd-e-hasti ki kaDi dhup mein thak jaane par

    jis ki aaghosh ne baKHsha hai mujhe man ka KHulus

    jis ki KHamosh inayat ki suhani yaaden

    loriyan ban ke mere dil mein sama jati hain

    meri tanhai ke ehsas ko zail karne

    jis ki diwaren mere pas chali aati hain

    samne taq pe rakkhi hui do taswiren

    aksar auqat mujhe pyar se yun takti hain

    jaise main dur kisi des ka shahzada hun

    mera kamra mere mazi ka haqiqi munis

    aaj har fikr har ehsas se begana hai

    apne hamraaz kiwaDon ke ahate ke ewaz

    aaj main jaise mazaron pe chala aaya hun

    gard-aluda calendar pe ajanta ke nuqush

    mere chehre ki lakiron ki taraf dekhte hain

    jaise ek lash ki phaili hui be-bas aankhen

    apne majbur azizon ko taka karti hain

    ye kitaben bhi mera sath nahin detin aaj

    'keats' ki nazm 'arastu' ke hakimana qaul

    sang-marmar ki imarat ki tarah sakit hain

    tu hi kuchh baat kar ai mere dhaDakte hue dil

    tu hi ek mera sahaara hai mera munis hai

    tu hi is sard andhere mein charaghan kar de

    laxmi-dewi to meri baat nahin sun saktin

    mujh ko malum hai kya bit chuki hai tujh par

    mere chehre ke sulagte hue zaKHmon ko bhi dekh

    meri aankhon pe meri fikr pe pabandi hai

    main use chahun bhi to yaad nahin kar sakta

    tu use kho ke machal sakta hai ro sakta hai

    aur main luT ke bhi fariyaad nahin kar sakta

    isi aaine ne dekhe hain hamare jhagDe

    yahi zina hai jahan main ne use chuma tha

    in qamizon mein in uljhe hue rumalon mein

    us ke baalon ki mahak aaj bhi aasuda hai

    jo kabhi meri thi inkar pe bhi meri thi

    ab faqat bazm-e-tasawwur mein nazar aati hai

    raat bhar jag ke likkhi hui tahriron se

    ab bhi un aankhon ki taswir ubhar aati hai

    chandni khul ke nikhar aai hai darwaze par

    os se bhigte jate hain purane gamle

    kis qadar narm hai kaliyon ka suhana saya

    jaise wo honT jinhen pa ke bhi main pa na saka

    ai taDapte hue dil aur sambhal aur sambhal

    ye teri chap se jag uTThengi to kya hoga

    subh kya jaane kahan hoti hai kab hoti hai

    jaane insan ne kis waqt ye neamat pai

    meri qismat mein bas ek silsila-e-sham-o-sahar

    mere kamre ke muqaddar mein faqat tanhai

    Source:

    kulliyat-e-mustafa zaidii(shahr-e-aazar) (Pg. 103)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now