Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raaten sachchi hain din jhuTe hain

Jaun Eliya

raaten sachchi hain din jhuTe hain

Jaun Eliya

MORE BYJaun Eliya

    chāhe tum merī bīnā.ī khurach Daalo phir bhī apne ḳhvāb nahīñ chhoḌūñgā

    un lazzat aur aziyyat se maiñ apnā koī ahd nahīñ toḌūñgā

    tez nazar nā-bīnāoñ ābādī meñ

    kyā maiñ apne dhyān ye pūñjī bhī ginvā duuñ

    haañ mere ḳhvāboñ ko tumhārī sub.hoñ sard aur sāya-gūñ tābīroñ se nafrat hai

    in sub.hoñ ne shaam ke hāthoñ ab tak jitne sūraj beche

    vo sab ik barfānī bhaap chamkīlī aur chakkar khātī golā.ī the

    so mere ḳhvāboñ rāteñ jaltī aur dahaktī rāteñ

    aisī yaḳh-basta tābīroñ ke har din se achchhī haiñ aur sachchī bhī haiñ

    jis meñ dhundlā chakkar khātā chamkīlā-pan chhe atrāf rog banā hai

    mere andhere bhī sachche haiñ

    aur tumhāre ''rog ujāle'' bhī jhūTe haiñ

    rāteñ sachchī haiñ din jhūTe

    jab tak din jhūTe haiñ jab tak

    rāteñ sahnā aur apne ḳhvāboñ meñ rahnā

    ḳhvāboñ ko bahkāne vaale din ke ujāloñ se achchhā hai

    haañ maiñ bahkāoñ dhund nahīñ oḌhūñgā

    chāhe tum merī bīnā.ī khurach Daalo maiñ phir bhī apne ḳhvāb nahīñ chhoḌūñgā

    apnā ahd nahīñ toḌūñgā

    yahī to bas merā sab kuchh hai

    maah o saal ke ġhārat-gar se merī Thanī hai

    merī jaan par aan banī hai

    chāhe kuchh ho mere āḳhirī saañs talak ab chāhe kuchh ho

    chahe tum meri binai khurach Dalo phir bhi apne KHwab nahin chhoDunga

    un ki lazzat aur aziyyat se main apna koi ahd nahin toDunga

    tez nazar na-binaon ki aabaadi mein

    kya main apne dhyan ki ye punji bhi ginwa dun

    han mere KHwabon ko tumhaari subhon ki sard aur saya-gun tabiron se nafrat hai

    in subhon ne sham ke hathon ab tak jitne suraj beche

    wo sab ek barfani bhap ki chamkili aur chakkar khati golai the

    so mere KHwabon ki raaten jalti aur dahakti raaten

    aisi yaKH-basta tabiron ke har din se achchhi hain aur sachchi bhi hain

    jis mein dhundla chakkar khata chamkila-pan chhe atraf ka rog bana hai

    mere andhere bhi sachche hain

    aur tumhaare rog ujale bhi jhuTe hain

    raaten sachchi hain din jhuTe

    jab tak din jhuTe hain jab tak

    raaten sahna aur apne KHwabon mein rahna

    KHwabon ko bahkane wale din ke ujalon se achchha hai

    han main bahkaon ki dhund nahin oDhunga

    chahe tum meri binai khurach Dalo main phir bhi apne KHwab nahin chhoDunga

    apna ahd nahin toDunga

    yahi to bas mera sab kuchh hai

    mah o sal ke ghaarat-gar se meri Thani hai

    meri jaan par aan bani hai

    chahe kuchh ho mere aaKHiri sans talak ab chahe kuchh ho

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    raaten sachchi hain din jhuTe hain Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now