Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rail ka safar

Raza Naqvi Vahi

rail ka safar

Raza Naqvi Vahi

MORE BYRaza Naqvi Vahi

    darpesh achānak jo huī ek zarūrat

    'vāhī' se huī rail pe chaḌhne himāqat

    aa dhamkī zarā vaqt se pahle vo gaaḌī

    'vāhī' ne ghaḌī dekhī to lāhaq huī hairat

    hairat thī ki tājīl kyā vajah hai āḳhir

    tāḳhīr to hai rail derīna rivāyat

    al-qissa ticket manzil-e-maqsūd le kar

    asbāb liye dauḌ ke pahuñchā vo ba-ujlat

    aage se bhī pīchhe se bhī khātā huā dhakke

    dāḳhil huā ik chhoTe se Dabbe meñ ba-diqqat

    Dibbā thā ki ik ganj-e-shahīdāñ namūna

    thoḌī jagah tang-tar az-gosha-e-turbat

    turbat meñ magar paañv to phailāte haiñ murde

    zindoñ ko nahīñ rail meñ us bhī suhūlat

    asbāb pe baiThā thā koī Taañg aḌaa.e

    khiḌkī pe khaḌā thā koī dīvār sūrat

    is bhiiḌ meñ gunjā.ish-e-alfāz kahāñ thī

    alfāz bhī hoñToñ se nikalte the ba-diqqat

    thā dam-ba-ḳhud ik goshe meñ simTā huā 'vāhī'

    kam-baḳht ko thī saañs ke lene zarūrat

    aur saañs ke lene na thā koī bhī imkāñ

    thī band havā oxygen thī ye qillat

    the ek buzurg us ke muqābil meñ jo baiThe

    dekhī na ga.ī un se jo 'vāhī' ye hālat

    farmāne lage aap kahāñ jāoge bhayyā

    bardāsht bhī kar pāoge raste sa.ūbat

    ye rail nahīñ hazrat-e-'saudā' hai ghoḌī

    daur-e-zamīñ tai kartī hai ik din masāfat

    kal is ko pahuñchnā thā jahāñ aaj hai pahuñchī

    chaubīs pahar laTe hai allāh re sur.at

    maiñ apnī tabāhī bayāñ kyā karūñ bhayyā

    paTna meñ thī kal mere muqaddame samā.at

    paTna hai magar aaj bhī dillī tarah duur

    rotī hai mirī shāmat-e-a.amāl ko qismat

    ye sunte kaan us ke khaḌe ho ga.e fauran

    arz ki ye aap ne kyā kah diyā hazrat

    maiñ ne to ye samjhā thā ki hai vaqt pe aa.ī

    chaubīs pahar laTe qayāmat hai qayāmat

    bole vo buzurg aap baḌe saada haiñ bhayyā

    ham log kisī kaam meñ karte nahīñ ujlat

    ma.alūm nahīñ aap ko ye nukta-e-tārīḳh

    jo qaum ḳhaslat hai na rail ḳhaslat

    vo rail raftār ho vaqt raftār

    is mulk meñ donoñ ko tasāhul hai aadat

    pābandi-e-auqāt meñ hai shān-e-ġhulāmī

    āzād huā hind to kyā is zarūrat

    darpesh achanak jo hui ek zarurat

    'wahi' se hui rail pe chaDhne ki himaqat

    aa dhamki zara waqt se pahle hi wo gaDi

    'wahi' ne ghaDi dekhi to lahaq hui hairat

    hairat thi ki tajil ki kya wajah hai aaKHir

    taKHir to hai rail ki derina riwayat

    al-qissa ticket manzil-e-maqsud ka le kar

    asbab liye dauD ke pahuncha wo ba-ujlat

    aage se bhi pichhe se bhi khata hua dhakke

    daKHil hua ek chhoTe se Dabbe mein ba-diqqat

    Dibba tha ki ek ganj-e-shahidan ka namuna

    thoDi si jagah tang-tar az-gosha-e-turbat

    turbat mein magar panw to phailate hain murde

    zindon ko nahin rail mein us ki bhi suhulat

    asbab pe baiTha tha koi Tang aDae

    khiDki pe khaDa tha koi diwar ki surat

    is bhiD mein gunjaish-e-alfaz kahan thi

    alfaz bhi honTon se nikalte the ba-diqqat

    tha dam-ba-KHud ek goshe mein simTa hua 'wahi'

    kam-baKHt ko thi sans ke lene ki zarurat

    aur sans ke lene ka na tha koi bhi imkan

    thi band hawa oxygen ki thi ye qillat

    the ek buzurg us ke muqabil mein jo baiThe

    dekhi na gai un se jo 'wahi' ki ye haalat

    farmane lage aap kahan jaoge bhayya

    bardasht bhi kar paoge raste ki saubat

    ye rail nahin hazrat-e-'sauda' ki hai ghoDi

    daur-e-zamin tai karti hai ek din ki masafat

    kal is ko pahunchna tha jahan aaj hai pahunchi

    chaubis pahar laTe hai allah re surat

    main apni tabahi ka bayan kya karun bhayya

    paTna mein thi kal mere muqaddame ki samaat

    paTna hai magar aaj bhi dilli ki tarah dur

    roti hai meri shamat-e-amal ko qismat

    ye sunte hi kan us ke khaDe ho gae fauran

    ki arz ki ye aap ne kya kah diya hazrat

    main ne to ye samjha tha ki hai waqt pe aai

    chaubis pahar laTe qayamat hai qayamat

    bole wo buzurg aap baDe sada hain bhayya

    hum log kisi kaam mein karte nahin ujlat

    malum nahin aap ko ye nukta-e-tariKH

    jo qaum ki KHaslat hai na hi rail ki KHaslat

    wo rail ki raftar ho ya waqt ki raftar

    is mulk mein donon ko tasahul ki hai aadat

    pabandi-e-auqat mein hai shan-e-ghulami

    aazad hua hind to kya is ki zarurat

    Source:

    (Pg. 58)

    • Author: Raza Naqvi Vahi
      • Publisher: Naseem Book Depot, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now