Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

railiyan hi railiyan

Raza Naqvi Vahi

railiyan hi railiyan

Raza Naqvi Vahi

MORE BYRaza Naqvi Vahi

    ye hamārā shahr jo shahr-e-'kalīm'-o-'shād' hai

    dost is āj-kal charḳh-e-sitam-ījād hai

    ik zamāna thā ki gañgā ye ham-sāya nagar

    sher-o-hikmat ke liye thā dars-gāh-e-mo'tabar

    bhā.ī-chāra aur ravā-dārī thā har-sū rivāj

    apne apne shuġhl meñ masrūf rahtā thā samāj

    shā.erān-e-ḳhush-navā din raat aate the nazar

    gungunāte sher kahte har galī ke moḌ par

    aise be-fikroñ ko jin tab.a mauzūñ na thī

    shauq thā kankavve-bāzī kaa, bajā.e-shā.erī

    mulk meñ tahrīk-e-āzādī aayā daur jab

    mashġhale tafrīh ke, DhūñDe ga.e kuchh aur tab

    thī kabhī to bhūk-haḌtāl strike, mār-dhāḌ

    aur kabhī thī nāre-bāzī dhar ise us ko pichhāḌ

    ba.ad-e-āzādī na.ī masrūfiyat dar khulā

    niim to hai niim us par karailā bhī chaḌhā

    ik na.ī tahrīk aa.ī le ke kuchh tabdīliyāñ

    ya.anī ab tafrīh sāmān-e-nau haiñ railiyāñ

    jis tarah hoñ khetiyoñ par hamla-āvar TiDDiyāñ

    yūñhī ahl-e-shahr ke haq meñ haiñ la.anat railiyāñ

    kursiyoñ se jo siyāsat-zād-gāñ mahrūm haiñ

    railiyāñ un ke liye bā-maqsad o mafhūm haiñ

    rañg-dāroñ ko milā kar bhiiḌ ikaTThī ga.ī

    chappa chappa par galī-kūchoñ ke jo qābiz huī

    daf.atan maflūj ho kar rah gayā har kām-kāj

    shahr meñ chaltā rahā kuchh der tak rāvan raaj

    ittifāqan gar koī dūkāñ khulī paa.ī ga.ī

    ḳhuub bhar ke vo luuTī aur jalvā.ī ga.ī

    har dar-o-dīvār ke nīche khaTāloñ qatār

    biich saḌkoñ par maveshī aur ġhalāzat bahār

    aur is manzar ke pīchhe railī-bāzoñ hujūm

    tujh ko le aayā kahāñ ai shahr terā baḳht-e-shūm

    ye hamara shahr jo shahr-e-'kalim'-o-'shad' hai

    dost is ka aaj-kal charKH-e-sitam-ijad hai

    ek zamana tha ki ganga ka ye ham-saya nagar

    sher-o-hikmat ke liye tha dars-gah-e-mo'tabar

    bhai-chaara aur rawa-dari ka tha har-su riwaj

    apne apne shughl mein masruf rahta tha samaj

    shaeran-e-KHush-nawa din raat aate the nazar

    gungunate sher kahte har gali ke moD par

    aise be-fikron ko jin ki taba mauzun hi na thi

    shauq tha kankawwe-bazi ka, bajae-shaeri

    mulk mein tahrik-e-azadi ka aaya daur jab

    mashghale tafrih ke, DhunDe gae kuchh aur tab

    thi kabhi to bhuk-haDtal strike, mar-dhaD

    aur kabhi thi nare-bazi dhar ise us ko pichhaD

    baad-e-azadi nai masrufiyat ka dar khula

    nim to hai nim hi us par karaila bhi chaDha

    ek nai tahrik aai le ke kuchh tabdiliyan

    yani ab tafrih ka saman-e-nau hain railiyan

    jis tarah hon khetiyon par hamla-awar TiDDiyan

    yunhi ahl-e-shahr ke haq mein hain lanat railiyan

    kursiyon se jo siyasat-zad-gan mahrum hain

    railiyan un ke liye ba-maqsad o mafhum hain

    rang-daron ko mila kar bhiD ikaTThi ki gai

    chappa chappa par gali-kuchon ke jo qabiz hui

    dafatan mafluj ho kar rah gaya har kaam-kaj

    shahr mein chalta raha kuchh der tak rawan ka raj

    ittifaqan gar koi dukan khuli pai gai

    KHub ji bhar ke wo luTi aur jalwai gai

    har dar-o-diwar ke niche khaTalon ki qatar

    bich saDkon par maweshi aur ghalazat ki bahaar

    aur is manzar ke pichhe raili-bazon ka hujum

    tujh ko le aaya kahan ai shahr tera baKHt-e-shum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now