Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raqqasa-e-hayat se

Shakeel Badayuni

raqqasa-e-hayat se

Shakeel Badayuni

MORE BYShakeel Badayuni

    phūloñ pe raqs aur na bahāroñ pe raqs kar

    gulzār-e-hast-e-būd meñ ḳhāroñ pe raqs kar

    ho kar jumūd-e-gulshan-e-jannat se be-niyāz

    dozaḳh ke be-panāh sharāroñ pe raqs kar

    sham-e-sahar fusūn-e-tabassum, hayāt-e-gul

    fitrat ke in ajiib nazāroñ pe raqs kar

    tanzīm-e-kā.enāt-e-junūñ hañsī uḌā

    ujḌe hue chaman bahāroñ pe raqs kar

    sahmī huī sadā-e-dil-e-nā-tavāñ na sun

    bahkī huī nazar ke ishāroñ par raqs kar

    jo mar ke rahe the tujhe un se kyā ġharaz

    apne āshiqoñ ke mazāroñ pe raqs kar

    har har adā ho ruuh gahrā.iyoñ meñ gum

    yuuñ rañg-o-bū rāh-guzāroñ pe raqs kar

    apnī dhun meñ mast hai tujh ko batā.e kaun

    terī zamīñ falak hai sitāroñ par raqs kar

    is tarah raqs kar ki sarāpā asar ho

    koī nazar uThā.e to pesh-e-nazar ho

    phulon pe raqs aur na bahaaron pe raqs kar

    gulzar-e-hast-e-bud mein KHaron pe raqs kar

    ho kar jumud-e-gulshan-e-jannat se be-niyaz

    dozaKH ke be-panah shararon pe raqs kar

    sham-e-sahar fusun-e-tabassum, hayat-e-gul

    fitrat ke in ajib nazaron pe raqs kar

    tanzim-e-kaenat-e-junun ki hansi uDa

    ujDe hue chaman ki bahaaron pe raqs kar

    sahmi hui sada-e-dil-e-na-tawan na sun

    bahki hui nazar ke ishaaron par raqs kar

    jo mar ke ji rahe the tujhe un se kya gharaz

    tu apne aashiqon ke mazaron pe raqs kar

    har har ada ho ruh ki gahraiyon mein gum

    yun rang-o-bu ki rah-guzaron pe raqs kar

    tu apni dhun mein mast hai tujh ko batae kaun

    teri zamin falak hai sitaron par raqs kar

    is tarah raqs kar ki sarapa asar ho tu

    koi nazar uThae to pesh-e-nazar ho tu

    Source:

    Kulliyat Shakeel (Pg. 327)

      • Publisher: Fareed Book Depot Pvt. Ltd.
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now