aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raqqasa

Shumama Ufuq

raqqasa

Shumama Ufuq

MORE BYShumama Ufuq

    tum nahīñ jānte ho mujhe

    is se hāsil kyā hai magar

    tumheñ jaan kar apnī pahchān kho.e hue

    maiñ tumhāre ishāroñ pe raqsāñ rahī

    eḌiyoñ meñ ka.ī baar ghuñgrū kuaañ khod kar mar ga.e

    raqs zābta hai ki thaknā nahīñ hai

    jahāñ tak tabalchī thāpeñ paḌeñ

    tabla bajtā rahe raqs chaltā rahe

    maiñ raqqāsa huuñ

    raqs pesha hai merā

    magar tum tamāshā.ī ho kar tamāshe pe mo.atakif kyoñ nahīñ ho

    mirā har tamāshā.ī aañkh meñ ḳhvāb ban kar utarnā

    har ik god meñ hādisa ban ke girnā

    tamannāoñ ko tābnākī se māmūr karnā

    kahīñ par bikharnā kahīñ par simaTnā

    simaTnā bikharnā bikharnā simaTnā

    qadam thartharā ke

    achānak se ruk jaanā likkhā huā hai

    mujhe raqs meñ mahv mat samajhnā

    maiñ paslī taḳhlīq huuñ

    āḌe-tirchhe sabhī zāviye ḳhuub pahchāntī huuñ

    raqs pesha hai merā

    maiñ sab jāntī huuñ

    tum nahin jaante ho mujhe

    is se hasil hi kya hai magar

    tumhein jaan kar apni pahchan khoe hue

    main tumhaare ishaaron pe raqsan rahi

    eDiyon mein kai bar ghungru kuan khod kar mar gae

    raqs ka zabta hai ki thakna nahin hai

    jahan tak tabalchi ki thapen paDen

    tabla bajta rahe raqs chalta rahe

    main raqqasa hun

    raqs pesha hai mera

    magar tum tamashai ho kar tamashe pe hi moatakif kyon nahin ho

    mera har tamashai ki aankh mein KHwab ban kar utarna

    har ek god mein hadisa ban ke girna

    tamannaon ko tabnaki se mamur karna

    kahin par bikharna kahin par simaTna

    simaTna bikharna bikharna simaTna

    qadam tharthara ke

    achanak se ruk jaana likkha hua hai

    mujhe raqs mein mahw hi mat samajhna

    main pasli ki taKHliq hun

    aaDe-tirchhe sabhi zawiye KHub pahchanti hun

    raqs pesha hai mera

    main sab jaanti hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now