Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ras ki anokhi lahren

Meeraji

ras ki anokhi lahren

Meeraji

MORE BYMeeraji

    maiñ ye chāhtī huuñ ki duniyā āñkheñ mujhe dekhtī jaa.eñ yuuñ dekhtī jaa.eñ jaise

    koī peḌ narm Tahnī ko dekhe

    lachaktī huī narm Tahnī ko dekhe

    magar bojh pattoñ utre hue pairahan tarah sach ke saath farsh par ek maslā huā

    Dher ban kar paḌā ho

    maiñ ye chāhtī huuñ ki jhoñke havā ke lipaTte chale jaa.eñ mujh se

    machalte hue chheḌ karte hue hañste hañste koī baat kahte hue laaj ke bojh

    se rukte rukte sambhalte hue ras rañgīn sargoshiyoñ meñ

    maiñ ye chāhtī huuñ kabhī chalte chalte kabhī dauḌte dauḌte baḌhtī jā.ūñ

    havā jaise nadī lahroñ se chhūte hue sarsarāte hue bahtī jaatī hai ruktī

    nahīñ hai

    agar koī panchhī suhānī sadā meñ kahīñ giit gaa.e

    to āvāz garm lahreñ mire jism se aa ke Takrā.eñ aur lauT jaa.eñ Thaharne na paa.eñ

    kabhī garm kirneñ kabhī narm jhoñke

    kabhī mīThī mīThī fusūñ-sāz bāteñ

    kabhī kuchh kabhī kuchh na.e se nayā rañg ubhre

    ubharte tahlīl ho jaa.e phailī fazā meñ

    koī chiiz mere masarrat ke ghere meñ rukne na paa.e

    masarrat gherā simaTtā chalā rahā hai

    khulā khet gandum phailā huā hai

    bahut duur ākāsh shāmiyāna anokhī masahrī banā.e rasīle ishāroñ se bahkā rahā hai

    thapeḌoñ se paanī āvāz panchhī ke gītoñ meñ ghul kar phisalte hue ab nigāhoñ se ojhal huī rahī hai

    maiñ baiThī huī huuñ

    dupaTTā mere sar se Dhalkā huā hai

    mujhe dhyān aatā nahīñ hai mire gesuoñ ko koī dekh legā

    masarrat gherā simaTtā chalā rahā hai

    bas ab aur koī na.ī chiiz mere masarrat ke ghere meñ aane na paa.e

    main ye chahti hun ki duniya ki aankhen mujhe dekhti jaen yun dekhti jaen jaise

    koi peD ki narm Tahni ko dekhe

    lachakti hui narm Tahni ko dekhe

    magar bojh patton ka utre hue pairahan ki tarah sach ke sath hi farsh par ek masla hua

    Dher ban kar paDa ho

    main ye chahti hun ki jhonke hawa ke lipaTte chale jaen mujh se

    machalte hue chheD karte hue hanste hanste koi baat kahte hue laj ke bojh

    se rukte rukte sambhalte hue ras ki rangin sargoshiyon mein

    main ye chahti hun kabhi chalte chalte kabhi dauDte dauDte baDhti jaun

    hawa jaise nadi ki lahron se chhute hue sarsaraate hue bahti jati hai rukti

    nahin hai

    agar koi panchhi suhani sada mein kahin git gae

    to aawaz ki garm lahren mere jism se aa ke Takraen aur lauT jaen Thaharne na paen

    kabhi garm kirnen kabhi narm jhonke

    kabhi miThi miThi fusun-saz baaten

    kabhi kuchh kabhi kuchh nae se naya rang ubhre

    ubharte hi tahlil ho jae phaili faza mein

    koi chiz mere masarrat ke ghere mein rukne na pae

    masarrat ka ghera simaTta chala ja raha hai

    khula khet gandum ka phaila hua hai

    bahut dur aakash ka shamiyana anokhi masahri banae rasile ishaaron se bahka raha hai

    thapeDon se pani ki aawaz panchhi ke giton mein ghul kar phisalte hue ab nigahon se ojhal hui ja rahi hai

    main baiThi hui hun

    dupaTTa mere sar se Dhalka hua hai

    mujhe dhyan aata nahin hai mere gesuon ko koi dekh lega

    masarrat ka ghera simaTta chala ja raha hai

    bas ab aur koi nai chiz mere masarrat ke ghere mein aane na pae

    Source:

    Kulliyat Meeraji (Pg. 238)

      • Edition: 1988
      • Publisher: Urdu Markaz, London
      • Year of Publication: 1988
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now