Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

roe bhagat kabir

Habib Jalib

roe bhagat kabir

Habib Jalib

MORE BYHabib Jalib

    pūchh na kyā lahore meñ dekhā ham ne miyāñ-'nazīr'

    pahneñ suiT añgrezī boleñ aur kahlā.eñ 'mīr'

    chaudhariyoñ muTThī meñ hai shā.ir taqdīr

    ro.e bhagat kabīr

    ik-dūje ko jāhil samjheñ naT-khaT buddhīvān

    metro meñ jo chaa.e pilā.e bas vo baap samān

    sab se achchhā shā.ir vo hai jis yaar mudīr

    ro.e bhagat kabīr

    saḌkoñ par bhūke phirte haiñ shā.ir mausīqār

    actorsoñ ke baap liye phirte haiñ motor-kār

    film-nagar tak aa pahuñche haiñ sayyad piir faqīr

    ro.e bhagat kabīr

    lāl-dīn koThī dekhī rañg bhī jis laal

    shahr meñ rah kar ḳhuub uḌaa.e dahqānoñ maal

    aur kahe ajdād ne baḳhshī mujh ko ye jāgīr

    ro.e bhagat kabīr

    jis ko dekho leader hai aur se milo vakīl

    kisī tarah bhartā nahīñ hai peT hai un jhiil

    majbūran sunñā paḌtī hai un sab taqdīr

    ro.e bhagat kabīr

    mahfil se jo uTh kar jaa.e kahlā.e vo bor

    apnī masjid tārīfeñ baaqī jūte-chor

    apnā jhang bhalā hai pyāre jahāñ hamārī hiir

    ro.e bhagat kabīr

    puchh na kya lahore mein dekha hum ne miyan-'nazir'

    pahnen suiT angrezi bolen aur kahlaen 'mir'

    chaudhariyon ki muTThi mein hai shair ki taqdir

    roe bhagat kabir

    ik-duje ko jahil samjhen naT-khaT buddhiwan

    metro mein jo chae pilae bas wo bap saman

    sab se achchha shair wo hai jis ka yar mudir

    roe bhagat kabir

    saDkon par bhuke phirte hain shair mausiqar

    actorson ke bap liye phirte hain motor-kar

    film-nagar tak aa pahunche hain sayyad pir faqir

    roe bhagat kabir

    lal-din ki koThi dekhi rang bhi jis ka lal

    shahr mein rah kar KHub uDae dahqanon ka mal

    aur kahe ajdad ne baKHshi mujh ko ye jagir

    roe bhagat kabir

    jis ko dekho leader hai aur se milo wakil

    kisi tarah bharta hi nahin hai peT hai un ka jhil

    majburan sunna paDti hai un sab ki taqdir

    roe bhagat kabir

    mahfil se jo uTh kar jae kahlae wo bor

    apni masjid ki tarifen baqi jute-chor

    apna jhang bhala hai pyare jahan hamari hir

    roe bhagat kabir

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now