aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rota hua bakra

Shariq Kaifi

rota hua bakra

Shariq Kaifi

MORE BYShariq Kaifi

    vahī bakrā

    mirā mariyal bakrā

    jise bablū ke bakre ne bahut maarā thā vo bakrā

    vo kal phir ḳhvāb meñ aayā thā mere

    dahāḌeñ maar kar rotā huā

    aur niiñd se uTh kar hamesha tarah rone lagā maiñ

    ḳhatā merī thī

    maiñ ne laḌāyā thā use bablū ke bakre se

    use ma.alūm thā piTnā hai us ko

    magar phir bhī vo us moTe se kar bhiḌ gayā thā

    mirī izzat ḳhātir

    vo bhī qurbānī se bas kuchh der pahle

    magar paapā to kahte haiñ vo jannat meñ bahut ārām se hogā

    vahāñ angūr khā kar ḳhuub moTā ho gayā hogā

    to kyuuñ rotā hai vo ḳhvāboñ meñ aa kar

    vo kyuuñ rotā hai aa kar ḳhvāb meñ ye to nahīñ ma.alūm mujh ko

    mujhe to ye patā hai

    vo jab jab ḳhvāb meñ rotā huā aayā hai mere

    to agle roz bablū ko bahut maarā hai maiñ ne

    wahi bakra

    mera mariyal sa bakra

    jise bablu ke bakre ne bahut mara tha wo bakra

    wo kal phir KHwab mein aaya tha mere

    dahaDen mar kar rota hua

    aur nind se uTh kar hamesha ki tarah rone laga main

    KHata meri thi

    main ne hi laDaya tha use bablu ke bakre se

    use malum tha piTna hai us ko

    magar phir bhi wo us moTe se ja kar bhiD gaya tha

    meri izzat ki KHatir

    wo bhi qurbani se bas kuchh der pahle

    magar papa to kahte hain wo jannat mein bahut aaram se hoga

    wahan angur kha kar KHub moTa ho gaya hoga

    to kyun rota hai wo KHwabon mein aa kar

    wo kyun rota hai aa kar KHwab mein ye to nahin malum mujh ko

    mujhe to ye pata hai

    wo jab jab KHwab mein rota hua aaya hai mere

    to agle roz bablu ko bahut mara hai main ne

    RECITATIONS

    Shariq Kaifi

    Shariq Kaifi,

    Shariq Kaifi

    rota hua bakra Shariq Kaifi

    Source:

    Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 153)

    • Author: Shariq Kaifi
      • Edition: 2nd
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now