Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ruswai

MORE BYMukhtar Siddiqui

    Tiikā lagā.ūñ maañg bhī sandal se bhar chukūñ

    dulhan banūñ to chāhiye joḌā suhāg

    mehñdī rachegī poroñ kahīñ ke dair meñ

    kañghī karūñ to chaḌhtī hai kāloñ aur lahr

    afshāñ hai baḳht bhī ki rahā un ke pher meñ

    kahtī hai sāñjh bhor ke ab ghaaT utar chukūñ

    tum baiTho maiñ to aa.ī pe se guzar chukūñ

    itne dinoñ to dil lagī ne ḳhudā.ī

    paa.el baje to bansī dhun naach naach uThe

    bad-nāmiyāñ karishme mire devtā ke haiñ

    diide ghumā ghumā ke kahīñ kyuuñ na gopiyāñ

    un ke chalan to bigḌe hue ibtidā ke haiñ

    biptā na hogī kal se lagā.ī bujhā.ī

    dahke shafaq dahke chitā jag hañsā.ī

    2

    chīḳheñ sun sun ke sabhī niiñd ke maate jaage

    sāmne dahkī huī aag paikar dekhā

    chal ke do-chār qadam phir se palaT kar jaulāñ

    chīḳheñ sho.aloñ ke dahakne pe lapak uThtī thiiñ

    duud ke halqe ravāñ ho.e falak charḳh zanāñ

    sab ye samjhe ki koī ġhūl-e-bayābānī hai

    yūñhī luukā jo lagāne ko nikal aayā yahāñ

    bād-pā aag thī laal rasīlī saaḌī

    chhāyā kāloñ thī sho.aloñ zabānoñ dhuāñ

    yak-ba-yak kundanī bāheñ bhī uThīñ chīḳh ke saath

    kāñpte aa.e nazar phuul se mehñdī bhare haath

    ek ne baḌh ke vahīñ aag pe Daalā paanī

    aag yuuñ paanī shah paa.e to dozaḳh na bane

    jīte-jī ashkoñ se kyā dil lagī bujhtī thī

    aag paanī meñ laḌā.ī jo chitā par bhī Thane

    ḳhaak Daalī to huiiñ phir kahīñ maddham āñcheñ

    baḳht rusvā ho to rusvā.ī binā kaise mane

    pūchho jalne to jaane vahī jis tan laage

    chīḳheñ sun sun ke

    Tika lagaun mang bhi sandal se bhar chukun

    dulhan banun to chahiye joDa suhag ka

    mehndi rachegi poron kahin ja ke dair mein

    kanghi karun to chaDhti hai kalon ki aur lahr

    afshan hai baKHt bhi ki raha un ke pher mein

    kahti hai sanjh bhor ke ab ghaT utar chukun

    tum baiTho main to aai pe ji se guzar chukun

    itne dinon to dil ki lagi ne KHudai ki

    pael baje to bansi ki dhun nach nach uThe

    bad-namiyan karishme mere dewta ke hain

    dide ghuma ghuma ke kahin kyun na gopiyan

    un ke chalan to bigDe hue ibtida ke hain

    bipta na hogi kal se lagai bujhai ki

    dahke shafaq tu dahke chita jag hansai ki

    2

    chiKHen sun sun ke sabhi nind ke mate jage

    samne dahki hui aag ka paikar dekha

    chal ke do-chaar qadam phir se palaT kar jaulan

    chiKHen shoalon ke dahakne pe lapak uThti thin

    dud ke halqe rawan hoe falak charKH zanan

    sab ye samjhe ki koi ghul-e-bayabani hai

    yunhi luka jo lagane ko nikal aaya yahan

    baad-pa aag thi ya lal rasili saDi

    chhaya kalon ki thi shoalon ki zabanon ka dhuan

    yak-ba-yak kundani bahen bhi uThin chiKH ke sath

    kanpte aae nazar phul se mehndi bhare hath

    ek ne baDh ke wahin aag pe Dala pani

    aag yun pani ki shah pae to dozaKH na bane

    jite-ji ashkon se kya dil ki lagi bujhti thi

    aag pani mein laDai jo chita par bhi Thane

    KHak Dali to huin phir kahin maddham aanchen

    baKHt ruswa ho to ruswai bina kaise mane

    puchho jalne ki to jaane wahi jis tan lage

    chiKHen sun sun ke

    Source:

    Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 88)

    • Author: Munavvar Jameel
      • Edition: 2000
      • Publisher: Haji Haneef Printer Lahore
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now