Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sab se achchha des hamara

Mohammad Shafiuddin Nayyar

sab se achchha des hamara

Mohammad Shafiuddin Nayyar

MORE BYMohammad Shafiuddin Nayyar

    kaalī kaalī is ghaTā.eñ

    ThanDī ThanDī is havā.eñ

    pyārī pyārī is fazā.eñ

    bāñkī bāñkī is adā.eñ

    sab se achchhā des hamārā

    sab se pyārā des hamārā

    ujlī ujlī nahreñ jaarī

    nirmal jal shobhā nyārī

    pyāre is ke sab nar-nārī

    vaarī is par jaan hamārī

    sab se achchhā des hamārā

    sab se pyārā des hamārā

    sub.h manzar pyārā pyārā

    sūraj jaise laal añgāre

    chandramāñ kuchh aur bhī nyārā

    motī hiirā ik ik taarā

    sab se achchhā des hamārā

    sab se pyārā des hamārā

    garmī aur sardī bahāreñ

    barkhā rut ke meñh phuvāreñ

    phūloñ rañgīn qatāreñ

    dariyāoñ duudh dhāreñ

    sab se achchhā des hamārā

    sab se pyārā des hamārā

    ḳhitta ik kashmīr yahāñ hai

    ḳhūbī is sab pe ayaañ hai

    aisā ḳhitta aur kahāñ hai

    duniyā meñ ye bāġh-e-jināñ hai

    sab se achchhā des hamārā

    sab se pyārā des hamārā

    aao des pe tan man vāreñ

    des hālat dil se sudhāreñ

    des ke har tabqe ko ubhāreñ

    'nayyar' phir mil kar pukāreñ

    sab se achchhā des hamārā

    sab se pyārā des hamārā

    kali kali is ki ghaTaen

    ThanDi ThanDi is ki hawaen

    pyari pyari is ki fazaen

    banki banki is ki adaen

    sab se achchha des hamara

    sab se pyara des hamara

    ujli ujli nahren jari

    nirmal jal ki shobha nyari

    pyare is ke sab nar-nari

    wari is par jaan hamari

    sab se achchha des hamara

    sab se pyara des hamara

    subh ka manzar pyara pyara

    suraj jaise lal angare

    chandraman kuchh aur bhi nyara

    moti hira ek ek tara

    sab se achchha des hamara

    sab se pyara des hamara

    garmi aur sardi ki bahaaren

    barkha rut ke meinh ki phuwaren

    phulon ki rangin qataren

    dariyaon ki dudh si dhaaren

    sab se achchha des hamara

    sab se pyara des hamara

    KHitta ek kashmir yahan hai

    KHubi is ki sab pe ayan hai

    aisa KHitta aur kahan hai

    duniya mein ye bagh-e-jinan hai

    sab se achchha des hamara

    sab se pyara des hamara

    aao des pe tan man waren

    des ki haalat dil se sudhaaren

    des ke har tabqe ko ubhaaren

    'nayyar' phir mil kar pukaren

    sab se achchha des hamara

    sab se pyara des hamara

    Source:

    Watani Nazmein (Pg. 24)

    • Author: Mohammad Shafiuddin Nayyar
      • Publisher: Nayyar Kitab Ghar, Delhi
      • Year of Publication: 1968

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now