Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sachcha jhuT

Obaidullah Aleem

sachcha jhuT

Obaidullah Aleem

MORE BYObaidullah Aleem

    maiñ bhī jhūTā tum bhī jhūTe

    aao chalo tanhā ho jaa.eñ

    kaun marīz aur kaun masīhā

    is dukh se chhuTkārā paa.eñ

    āñkheñ apnī ḳhvāb bhī apne

    apne ḳhvāb kise dikhlā.eñ

    apnī apnī rūhoñ meñ sab

    apne apne koḌh sajā.eñ

    apne apne kandhoñ par sab

    apnī apnī laash uThā.eñ

    baiTh ke apne apne ghar meñ

    apnā apnā jashn manā.eñ

    shāyad lamha-e-ā.inda meñ

    log hameñ sachchā Thahrā.eñ

    main bhi jhuTa tum bhi jhuTe

    aao chalo tanha ho jaen

    kaun mariz aur kaun masiha

    is dukh se chhuTkara paen

    aankhen apni KHwab bhi apne

    apne KHwab kise dikhlaen

    apni apni ruhon mein sab

    apne apne koDh sajaen

    apne apne kandhon par sab

    apni apni lash uThaen

    baiTh ke apne apne ghar mein

    apna apna jashn manaen

    shayad lamha-e-ainda mein

    log hamein sachcha Thahraen

    Source:

    Chand Chehra Sitara Aankhen (Pg. 75)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now