aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahafi se

Habib Jalib

sahafi se

Habib Jalib

MORE BYHabib Jalib

    qaum behtarī chhoḌ ḳhayāl

    fikr-e-ta.amīr-e-mulk dil se nikāl

    terā parcham hai terā dast-e-savāl

    be-zamīrī aur kyā ho ma.aal

    ab qalam se izār-band Daal

    tañg kar de ġharīb par ye zamīñ

    ḳham rakh āstān-e-zar pe jabīñ

    aib daur hai hunar nahīñ

    aaj husn-e-kamāl ko hai zavāl

    ab qalam se izār-band Daal

    kyuuñ yahāñ sub.h-e-nau baat chale

    kyuuñ sitam siyāh raat Dhale

    sab barābar haiñ āsmāñ ke tale

    sab ko raj.at-pasand kah kar Taal

    ab qalam se izār-band Daal

    naam se peshtar lagā ke amiir

    har musalmān ko banā ke faqīr

    qasr-o-aivāñ meñ ho qayām-pazīr

    aur ḳhutboñ meñ de 'umar' misāl

    ab qalam se izār-band Daal

    āmariyyat ham-navā.ī meñ

    terā ham-sar nahīñ ḳhudā.ī meñ

    bādshāhoñ rahnumā.ī meñ

    roz islām julūs nikāl

    ab qalam se izār-band Daal

    laakh hoñToñ pe dam hamārā ho

    aur dil sub.h sitārā ho

    sāmne maut nazārā ho

    likh yahī Thiik hai marīz haal

    ab qalam se izār-band Daal

    qaum ki behtari ka chhoD KHayal

    fikr-e-tamir-e-mulk dil se nikal

    tera parcham hai tera dast-e-sawal

    be-zamiri ka aur kya ho maal

    ab qalam se izar-band hi Dal

    tang kar de gharib par ye zamin

    KHam hi rakh aastan-e-zar pe jabin

    aib ka daur hai hunar ka nahin

    aaj husn-e-kamal ko hai zawal

    ab qalam se izar-band hi Dal

    kyun yahan subh-e-nau ki baat chale

    kyun sitam ki siyah raat Dhale

    sab barabar hain aasman ke tale

    sab ko rajat-pasand kah kar Tal

    ab qalam se izar-band hi Dal

    nam se peshtar laga ke amir

    har musalman ko bana ke faqir

    qasr-o-aiwan mein ho qayam-pazir

    aur KHutbon mein de 'umar' ki misal

    ab qalam se izar-band hi Dal

    aamariyyat ki ham-nawai mein

    tera ham-sar nahin KHudai mein

    baadshahon ki rahnumai mein

    roz islam ka julus nikal

    ab qalam se izar-band hi Dal

    lakh honTon pe dam hamara ho

    aur dil subh ka sitara ho

    samne maut ka nazara ho

    likh yahi Thik hai mariz ka haal

    ab qalam se izar-band hi Dal

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Habib Jalib

    Habib Jalib

    Source:

    kulliyat-e-habib jaalib (Pg. 367)

    • Author: habib jaalib
      • Edition: 2012
      • Publisher: Tahir publishar,lahore
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now