Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahar

Bekal Utsahi

sahar

Bekal Utsahi

MORE BYBekal Utsahi

    Interesting Fact

    Kunwar Mahendar Singh Bedi

    ḳhāndān-e-gurūnānak dulārā hai

    rashk ḳhurshīd kare aisā sitārā hai

    husn-e-kirdār meñ aisā hai jamāl-e-tasḳhīr

    jo bhī dekhe vo kahe sirf hamārā hai

    shā.irī tire taḳhayyul rahegī muhtāj

    mahfil-e-ilm-o-adab tujh se rahegī raushan

    tire ash.ār-e-guhar-bār adab zīnat

    naaz kartī hai tire naam pe lailā-e-suḳhan

    tire afkār se nikhrā hai jamāl urdu

    tirī taḳh.īl se lahkā hai fasāhat chaman

    sher-o-naġhma haiñ tirī rāh-e-tavajjoh meñ bichhe

    ḳhair-maqdam meñ tire rang pe hai rang-bhavan

    shām-e-rañgīñ hasīñ chhāñv meñ ye jashn-e-‘sahar’

    jaise jalvoñ meñ sajā.ī huī shahroñ dulhan

    KHandan-e-gurunanak ka dulara tu hai

    rashk KHurshid kare aisa sitara tu hai

    husn-e-kirdar mein aisa hai jamal-e-tasKHir

    jo bhi dekhe wo kahe sirf hamara tu hai

    shairi tere taKHayyul ki rahegi muhtaj

    mahfil-e-ilm-o-adab tujh se rahegi raushan

    tere ashaar-e-guhar-bar adab ki zinat

    naz karti hai tere nam pe laila-e-suKHan

    tere afkar se nikhra hai jamal urdu ka

    teri taKHil se lahka hai fasahat ka chaman

    sher-o-naghma hain teri rah-e-tawajjoh mein bichhe

    KHair-maqdam mein tere rang pe hai rang-bhawan

    sham-e-rangin ki hasin chhanw mein ye jashn-e-‘sahar’

    jaise jalwon mein sajai hui shahron dulhan

    Source:

    Apni Dharti Chand Kar Darpan (Pg. 109)

    • Author: Bekal Utsahi
      • Publisher: Ejaz, Sajjad
      • Year of Publication: 1975
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now