Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samundar aasman aur main

Amjad Islam Amjad

samundar aasman aur main

Amjad Islam Amjad

MORE BYAmjad Islam Amjad

    khulīñ jo āñkheñ to sar pe niilā falak tanā thā

    chahār-jānib siyāh paanī tund maujoñ ġhalġhala thā

    havā.eñ chīḳhoñ ko aur karāhoñ ko le ke chaltī thiiñ aur miTTī

    zard ḳhushbū meñ maut-mausam zā.iqa thā

    nazar manāzir meñ Duub kar bhī misāl-e-shīsha tahī thī yaanī

    gul-e-tamāshā nahīñ khilā thā

    hirās jazboñ rahguzar meñ dil-e-ta.ajjub-zada akelā

    ḳhamosh tanhā bhaTak rahā thā

    ki ek saa.e narm aahaT ne rāstoñ nasīb badlā

    koī ta.alluq ke chāñd lahje meñ apne-pan adā se bolā

    ''mire musāfir udaas mat ho ki ahd-e-furqat zindagī hai

    ye fāsloñ ḳhalīj rāh-e-visāl hai aur talab nigāhoñ raushnī hai

    tamām chīzeñ tumhāre mere

    badan ke rishtoñ silsila haiñ

    tumheñ ḳhabar hai ki ham samundar

    aur āsmānoñ intihā haiñ!''

    khulin jo aankhen to sar pe nila falak tana tha

    chahaar-jaanib siyah pani ki tund maujon ka ghalghala tha

    hawaen chiKHon ko aur karahon ko le ke chalti thin aur miTTi

    ki zard KHushbu mein maut-mausam ka zaiqa tha

    nazar manazir mein Dub kar bhi misal-e-shisha tahi thi yani

    gul-e-tamasha nahin khila tha

    hiras jazbon ki rahguzar mein dil-e-tajjub-zada akela

    KHamosh tanha bhaTak raha tha

    ki ek sae ki narm aahaT ne raston ka nasib badla

    koi talluq ke chand lahje mein apne-pan ki ada se bola

    mire musafir udas mat ho ki ahd-e-furqat hi zindagi hai

    ye faslon ki KHalij rah-e-visal hai aur talab nigahon ki raushni hai

    tamam chizen tumhaare mere

    badan ke rishton ka silsila hain

    tumhein KHabar hai ki hum samundar

    aur aasmanon ki intiha hain!

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now