Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samundar ki KHushbu

Sameena Raja

samundar ki KHushbu

Sameena Raja

MORE BYSameena Raja

    samundar ḳhushbū

    kahīñ duur se aa rahī hai,

    samundar se haiñ bojhal... nashīlī havā.eñ

    havā.eñ

    jo sāhil ḳhasta tamannā se Takrā rahī haiñ

    havā.eñ purāne zamāne ke kuchh raaz dohrā rahī haiñ

    yahāñ se zarā fāsle par nagar hai

    jahāñ log baste haiñ

    apnī ḳhamoshī meñ Duubī huī zindagī ko... sahārā diye

    log rote haiñ... hañste haiñ

    apne purāne gharoñ meñ

    havā.eñ

    purāne gharoñ muñDeroñ se Takrā rahī haiñ

    purāne gharoñ chhatoñ meñ... hadoñ meñ

    purāne parindoñ haiñ āshiyāne

    purāne gharoñ ke makīnoñ ke

    apne fasurda fasāne,

    koī apne dil fasāna

    parindoñ se kahtā nahīñ hai

    nashīlī havāoñ dīvāngī koī sahtā nahīñ hai

    samundar shorīda-ḳhū garm maujoñ pe bahtā nahīñ hai

    samundar

    nagar bahut tañg galiyoñ se hote hue

    mere tan ke tapīda jazīre talak aa gayā hai

    samundar... merī aañkh ke rauzan-e-yād se

    ruuh ke dasht meñ jhāñktā hai

    samundar... mire ḳhuun ke surḳh meñ maujzan

    niiñd ke zard meñ na.ara-zan hai

    samundar

    mere ḳhvāb ke sabz par ḳhanda-zan hai

    mire jism par... apnī ḳhvāhish bosīdgī ridā.eñ

    mire jism par ḳhanda-zan haiñ... ye taaza nashīlī havā.eñ

    azal samundar... mirī aañkh se bah rahā hai

    abad ke samundar jaadū

    mire dil se kuchh kah rahā hai!

    samundar ki KHushbu

    kahin dur se aa rahi hai,

    samundar ki bu se hain bojhal nashili hawaen

    hawaen

    jo sahil ki KHasta tamanna se Takra rahi hain

    hawaen purane zamane ke kuchh raaz dohra rahi hain

    yahan se zara fasle par nagar hai

    jahan log baste hain

    apni KHamoshi mein Dubi hui zindagi ko sahaara diye

    log rote hain hanste hain

    apne purane gharon mein

    hawaen

    purane gharon ki munDeron se Takra rahi hain

    purane gharon ki chhaton mein hadon mein

    purane parindon ki hain aashiyane

    purane gharon ke makinon ke

    apne fasurda fasane,

    koi apne dil ka fasana

    parindon se kahta nahin hai

    nashili hawaon ki diwangi koi sahta nahin hai

    samundar ki shorida-KHu garm maujon pe bahta nahin hai

    samundar

    nagar ki bahut tang galiyon se hote hue

    mere tan ke tapida jazire talak aa gaya hai

    samundar meri aankh ke rauzan-e-yaad se

    ruh ke dasht mein jhankta hai

    samundar mere KHun ke surKH mein maujzan

    nind ke zard mein nara-zan hai

    samundar

    mere KHwab ke sabz par KHanda-zan hai

    mere jism par apni KHwahish ki bosidgi ki ridaen

    mere jism par KHanda-zan hain ye taza nashili hawaen

    azal ka samundar meri aankh se bah raha hai

    abad ke samundar ka jadu

    mere dil se kuchh kah raha hai!

    Source:

    Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 94)

    • Author: Naseer Ahmed Nasir
      • Edition: Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
      • Publisher: H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi
      • Year of Publication: Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now