sarapa
zulf-e-siyāh se haarī raat
dil ne jabīñ se khaa.ī maat
āñkhoñ se maiḳhāne haare
mai se bhare paimāne haare
gaal gulābī naak suDaul
surḳh laboñ ke mīThe bol
daañt se motī sharminda
chāñd se baḌh kar tābinda
mukhḌā jaise nuur kā taḌkā
ThanDā ThanDā pyārā pyārā
gardan lambī siinā chauḌā
nuur kā yā kāfūr kā dariyā
bāñheñ bhārī gol kalā.ī
tāqat itnī jin meñ samā.ī
nuur se pur thī pinDlī saarī
bojhal-bojhal bhārī-bhārī
paañv jamā.e qaum sañbhāle
kaalī kamlī oḌhne vaale
rahmat-e-kul mahbūb-e-ḳhudā
mahbūb-e-ḳhudā the husn meñ yaktā
jin ko mohammad log pukāreñ
'as'ad' un par jaan ko vāreñ
zulf-e-siyah se haari raat
dil ne jabin se khai mat
aankhon se maiKHane haare
mai se bhare paimane haare
gal gulabi nak suDaul
surKH labon ke miThe bol
dant se moti sharminda
chand se baDh kar tabinda
mukhDa jaise nur ka taDka
ThanDa ThanDa pyara pyara
gardan lambi sina chauDa
nur ka ya kafur ka dariya
banhen bhaari gol kalai
taqat itni jin mein samai
nur se pur thi pinDli sari
bojhal-bojhal bhaari-bhaari
panw jamae qaum sanbhaale
kali kamli oDhne wale
rahmat-e-kul mahbub-e-KHuda
mahbub-e-KHuda the husn mein yakta
jin ko mohammad log pukaren
'as'ad' un par jaan ko waren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.