aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sawari

MORE BYMukhtasar Azmi

    zamāna badlā to iblīs ko malāl huā

    milā jo mauqa to bhagvān se savāl huā

    ki ab to aadmī chaltā hai rail par bas par

    havā meñ le ke jahāz uḌ rahā hai far-far far

    maiñ aadmī ta.āqub bhalā karūñ kaise

    maiñ rāt-din yuuñ paidal chalā karūñ kaise

    nidā falak se ye aa.ī ki malāl na kar

    kisī bhī haal meñ bebas hai ye ḳhayāl na kar

    hai ek gaaḌī tracktor jo sab pe bhārī hai

    ba-taur-e-ḳhās ye shaitān savārī hai

    zamana badla to iblis ko malal hua

    mila jo mauqa to bhagwan se sawal hua

    ki ab to aadmi chalta hai rail par bas par

    hawa mein le ke jahaz uD raha hai far-far far

    main aadmi ka taaqub bhala karun kaise

    main raat-din yun hi paidal chala karun kaise

    nida falak se ye aai ki tu malal na kar

    kisi bhi haal mein bebas hai ye KHayal na kar

    hai ek gaDi tracktor jo sab pe bhaari hai

    ba-taur-e-KHas ye shaitan ki sawari hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now