aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shaer

MORE BYMakhdoom Mohiuddin

    kuchh qaus-e-quzah se rañgat kuchh nuur churāyā tāroñ se

    bijlī se taḌap ko maañg liyā kuchh kaif uḌāyā bahāroñ se

    phūloñ se mahak shāḳhoñ se lachak aur mañDvoñ se ThanDā saaya

    jañgal kuñvārī kaliyoñ ne de Daalā apnā sarmāya

    bad-mast javānī se chhīnī kuchh be-fikrī kuchh allaḌhpan

    phir husn-e-junūñ-parvar ne āshufta-sarī dil dhaḌkan

    bikhrī huī rañgīñ kirnoñ ko āñkhoñ se chun kar laatā huuñ

    fitrat ke pareshāñ naġhmoñ se ik apnā giit banātā huuñ

    firdaus-e-ḳhayālī meñ baiThā ik but ko tarāshā kartā huuñ

    phir apne dil dhaḌkan ko patthar ke dil meñ bhartā huuñ

    kuchh qaus-e-quzah se rangat li kuchh nur churaya taron se

    bijli se taDap ko mang liya kuchh kaif uDaya bahaaron se

    phulon se mahak shaKHon se lachak aur manDwon se ThanDa saya

    jangal ki kunwari kaliyon ne de Dala apna sarmaya

    bad-mast jawani se chhini kuchh be-fikri kuchh allaDhpan

    phir husn-e-junun-parwar ne di aashufta-sari dil ki dhaDkan

    bikhri hui rangin kirnon ko aankhon se chun kar lata hun

    fitrat ke pareshan naghmon se ek apna git banata hun

    firdaus-e-KHayali mein baiTha ek but ko tarasha karta hun

    phir apne dil ki dhaDkan ko patthar ke dil mein bharta hun

    Source:

    Kulliyat-e-Makhdum Muhi-ud-din (Pg. 111)

    • Author: Farooq Argali
      • Edition: 2011
      • Publisher: Farid Book Depot Pvt. Ltd.
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now