Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahr

Ain Rashid

shahr

Ain Rashid

MORE BYAin Rashid

    shahr apne gande paañv pasāre dariyā ke kināre leTā hai

    aur tere siine par reñgtī huī chyūñTiyāñ sūraj ko ghuur rahī haiñ

    jab nisf darjan ġhair-mulkī hakīmoñ ne mushtarka taur par ailān kiyā

    maraz sañgīn hai aur ye bahut jald mar jā.egā

    to kisī chechak-zada bachche tarah ne unheñ dekhā aur ḳhāmosh ho rahā

    ġhalīz badkār be-rahm

    shahr log kahte haiñ badkār hai

    aur maiñ ne ḳhud dekhā hai

    sar-e-shām

    tere rañge chehre vaalī aurteñ laḌkhaḌāte nau-javānoñ ko nigal jaatī haiñ

    be-rahm

    jab raat ga.e tere dānish-var rickshaw kiye ḳhud-kushī karne jaate haiñ

    ḳhāmosh rahtā hai

    shahr maiñ terī dīvāna-kun ḳhvāhishoñ se be-zār huuñ

    shahr apne gande libās kab utāregā

    shahr log kahte haiñ marne ke baad merī haDDī se button banā.eñge

    shahr terī dīvāroñ par ye kaisī tahrīreñ haiñ

    shahr maiñ ne mahīnoñ se aḳhbār nahīñ paḌhā

    shahr chaa.e meñ shakar Dālnā bhuul gayā hai

    aur ye tere āñsuoñ tarah lag rahī hai

    shahr mujhe niiñd aa rahī hai thapak kar sulā de

    shahr tu apne gande panw pasare dariya ke kinare leTa hai

    aur tere sine par rengti hui chyunTiyan suraj ko ghur rahi hain

    jab nisf darjan ghair-mulki hakimon ne mushtarka taur par ailan kiya

    maraz sangin hai aur ye bahut jald hi mar jaega

    to kisi chechak-zada bachche ki tarah tu ne unhen dekha aur KHamosh ho raha

    ghaliz badkar be-rahm

    shahr log kahte hain tu badkar hai

    aur main ne KHud dekha hai

    sar-e-sham

    tere range chehre wali aurten laDkhaDate nau-jawanon ko nigal jati hain

    be-rahm

    jab raat gae tere danish-war rickshaw kiye KHud-kushi karne jate hain

    tu KHamosh rahta hai

    shahr main teri diwana-kun KHwahishon se be-zar hun

    shahr tu apne gande libas kab utarega

    shahr log kahte hain marne ke baad meri haDDi se button banaenge

    shahr teri diwaron par ye kaisi tahriren hain

    shahr main ne mahinon se aKHbar nahin paDha

    shahr tu chae mein shakar Dalna bhul gaya hai

    aur ye tere aansuon ki tarah lag rahi hai

    shahr mujhe nind aa rahi hai thapak kar sula de

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    shahr Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now