aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shama

Allama Iqbal

shama

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    Interesting Fact

    From Part-1 till 1905 (Bang-e-Dara)

    bazm-e-jahāñ meñ meñ bhī huuñ a sham-e-dardmand

    faryād dar girah-e-sifat daana sipand

    ishq ne harārat-e-soz-e-darūñ tujhe

    aur gul-farosh ashk shafaq-gūñ kiyā mujhe

    ho sham-e-bazm-e-aish ki sham-e-mazār-e-tū

    har haal ashk-e-ġham se rahī ham-kanār

    yak-bīñ tirī nazar sifat-e-āshiqān-e-rāz

    merī nigāh māya-e-āshob-e-imtiyāz

    ka.abe meñ but-kade meñ hai yaksāñ tirī ziyā

    maiñ imtiyāz-e-dair-o-haram meñ phañsā huā

    hai shān-e-āh tire dūd-e-siyāh meñ

    poshīda koī dil hai tirī jalva-gāh meñ

    jaltī hai ki barq-e-tajallī se duur hai

    be-dard tere soz ko samjhe ki nuur hai

    jal rahī hai aur tujhe kuchh ḳhabar nahīñ

    biinā hai aur soz-e-darūñ par nazar nahīñ

    meñ josh iztirāb se sīmāb vaar bhī

    āgāh-e-iztirāb dil-e-be-qarār bhī

    thā ye bhī koī naaz kisī be-niyāz

    ehsās de diyā mujhe apne gudāz

    ye āgahī marī mujhe rakhtī hai be-qarār

    ḳhvābīda is sharar meñ haiñ ātish-kade hazār

    ye imtiyāz-e-rif.at-o-pastī isī se hai

    gul meñ mahak sharāb meñ mastī isī se hai

    bustān-o-bulbul-o-gul-o-bū hai ye āgahī

    asl kashākash-o-man-o-tū hai ye āgahī

    sub.h-e-azal jo husn huā dilsitān-e-ishq

    āvāz-e-kun huī tapish āmoz-e-jān-e-ishq

    ye hukm thā ki gulshan-e-kun bahār dekh

    ek aañkh le ke ḳhvāb-e-pareshāñ hazār dekh

    mujh se ḳhabar na pūchh hijāb-e-vajūd

    shām-e-firāq sub.h thī merī numūd

    vo din ga.e ki qaid se maiñ āshnā na thā

    zeb-e-daraḳht-e-tūr mirā āshiyāna thā

    qaidī huuñ aur qafas ko chaman jāntā huuñ maiñ

    ġhurbat ke ġham-kade ko vatan jāntā huuñ maiñ

    yād-e-vatan fasurdagī be-sabab banī

    shauq-e-nazar kabhī kabhī zauq-e-talab banī

    a sham.a intihā-e-fareb-e-ḳhyāl dekh

    masjūd sākinān-e-falak ma.aal dekh

    mazmūñ firāq huuñ surayyā nishāñ huuñ maiñ

    āhañg-e-taba nāzim-e-kaun-o-makāñ huuñ maiñ

    bāñdhā mujhe jo us ne to chāhī mirī numūd

    tahrīr kar diyā sar-e-dīvān-e-hast-o-būd

    gauhar ko musht-e-ḳhāk maiñ rahnā pasand hai

    bandish agarche sust hai mazmūñ buland hai

    chashm-e-ġhalat nagar ye saarā qusūr hai

    aalam zuhūr jalva-e-zauq-e-shu.ūr hai

    ye silsila zamān-o-makāñ kamand hai

    tauq-e-gulū-e-husn tamāshā-pasand hai

    manzil ishtiyāq hai ġham-karda raah huuñ

    a sham.a meñ asīr-e-fareb-e-nigāh huuñ

    sayyād aap halqa-e-dām-e-sitam bhī aap

    bām-e-haram bhī tā.ir-e-bām-e-haram bhī aap

    maiñ husn huuñ ki ishq sarāpā gudāz huuñ

    khultā nahīñ ki naaz huuñ maiñ niyāz huuñ

    haañ āshnā-e-lab ho na rāz-e-kuhan kahīñ

    phir chhiḌ na jaa.e qissa-e-dār-o-rasan kahīñ

    bazm-e-jahan mein mein bhi hun a sham-e-dardmand

    faryaad dar girah-e-sifat dana sipand

    di ishq ne hararat-e-soz-e-darun tujhe

    aur gul-farosh ashk shafaq-gun kiya mujhe

    ho sham-e-bazm-e-aish ki sham-e-mazar-e-tu

    har haal ashk-e-gham se rahi ham-kanar tu

    yak-bin teri nazar sifat-e-ashiqan-e-raaz

    meri nigah maya-e-ashob-e-imtiyaz

    kabe mein but-kade mein hai yaksan teri ziya

    main imtiyaz-e-dair-o-haram mein phansa hua

    hai shan-e-ah ki tere dud-e-siyah mein

    poshida koi dil hai teri jalwa-gah mein

    jalti hai tu ki barq-e-tajalli se dur hai

    be-dard tere soz ko samjhe ki nur hai

    tu jal rahi hai aur tujhe kuchh KHabar nahin

    bina hai aur soz-e-darun par nazar nahin

    mein josh iztirab se simab war bhi

    aagah-e-iztirab dil-e-be-qarar bhi

    tha ye bhi koi naz kisi be-niyaz ka

    ehsas de diya mujhe apne gudaz ka

    ye aagahi mari mujhe rakhti hai be-qarar

    KHwabida is sharar mein hain aatish-kade hazar

    ye imtiyaz-e-rifat-o-pasti isi se hai

    gul mein mahak sharab mein masti isi se hai

    bustan-o-bulbul-o-gul-o-bu hai ye aagahi

    asl kashakash-o-man-o-tu hai ye aagahi

    subh-e-azal jo husn hua dilsitan-e-ishq

    aawaz-e-kun hui tapish aamoz-e-jaan-e-ishq

    ye hukm tha ki gulshan-e-kun ki bahaar dekh

    ek aankh le ke KHwab-e-pareshan hazar dekh

    mujh se KHabar na puchh hijab-e-wajud ki

    sham-e-firaq subh thi meri numud ki

    wo din gae ki qaid se main aashna na tha

    zeb-e-daraKHt-e-tur mera aashiyana tha

    qaidi hun aur qafas ko chaman jaanta hun main

    ghurbat ke gham-kade ko watan jaanta hun main

    yaad-e-watan fasurdagi be-sabab bani

    shauq-e-nazar kabhi kabhi zauq-e-talab bani

    a shama intiha-e-fareb-e-KHyal dekh

    masjud sakinan-e-falak ka maal dekh

    mazmun firaq ka hun surayya nishan hun main

    aahang-e-taba nazim-e-kaun-o-makan hun main

    bandha mujhe jo us ne to chahi meri numud

    tahrir kar diya sar-e-diwan-e-hast-o-bud

    gauhar ko musht-e-KHak main rahna pasand hai

    bandish agarche sust hai mazmun buland hai

    chashm-e-ghalat nagar ka ye sara qusur hai

    aalam zuhur jalwa-e-zauq-e-shuur hai

    ye silsila zaman-o-makan ka kamand hai

    tauq-e-gulu-e-husn tamasha-pasand hai

    manzil ka ishtiyaq hai gham-karda rah hun

    a shama mein asir-e-fareb-e-nigah hun

    sayyaad aap halqa-e-dam-e-sitam bhi aap

    baam-e-haram bhi tair-e-baam-e-haram bhi aap

    main husn hun ki ishq sarapa gudaz hun

    khulta nahin ki naz hun main ya niyaz hun

    han aashna-e-lab ho na raaz-e-kuhan kahin

    phir chhiD na jae qissa-e-dar-o-rasan kahin

    Source:

    کلیات اقبال (Pg. 44)

    • Author: علامہ اقبال
      • Publisher: ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس،دہلی
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now