Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shanaKHt ka minar

Riyaz tauheedi

shanaKHt ka minar

Riyaz tauheedi

MORE BYRiyaz tauheedi

    bhūre rang ke kuttoñ haḌboñg ne

    fazā par vahshat taarī kar hai

    in bhuuk itnī shadīd hai

    ki vo

    sirf maḳhsūs qism haDDiyoñ guudā

    sūñgh sūñgh kar talāsh rahe haiñ

    ab to kaale kutte bhī

    barsoñ niiñd se jaag uThe haiñ

    aur vo bhī

    in bhūre kuttoñ talāsh ke madad-gār ban rahe haiñ

    māhaul par vahshat dhund chhā.ī huī hai

    ye vahshat itnī ḳhaufnāk hai

    ki

    jañgalī darinde bhī apnī ḳhaslat bhuul ga.e haiñ

    aur is dhund meñ

    safed ḳhargosh

    apnī baqā ḳhātir bhūre aur kaale kuttoñ haḌboñg

    vahshat se

    itne hirāsāñ ho rahe haiñ

    ki

    kahīñ kahīñ par vo apnī khaal rangat tak

    chhupāne ke liye majbūr ho rahe haiñ

    safed ḳhargoshoñ ek aur bhī mas.ala hai ki

    vo kabhī kabhī apnī khaal ko

    apne dāñtoñ se kutarne meñ lag jaate haiñ

    jis vaj.h se

    un shanāḳht pahchān

    kuttoñ ke liye

    āsān ho jaatī hai

    lekin agar unheñ

    apnī yaksāñ shanāḳht

    ehsās ho jaa.e

    to

    ye bhūre aur kaale kutte

    phir apnī bhuuk ko bhuul kar

    apnī mashkūk shanāḳht ko bachāne

    ke liye pareshāñ ho jā.eñge

    lekin

    kyā safed ḳhargosh kabhī

    apnī shanāḳht mīnār ta.amīr kar pā.eñge

    bhure rang ke kutton ki haDbong ne

    faza par wahshat tari kar di hai

    in ki bhuk itni shadid hai

    ki wo

    sirf maKHsus qism ki haDDiyon ka guda

    sungh sungh kar talash rahe hain

    ab to kale kutte bhi

    barson ki nind se jag uThe hain

    aur wo bhi

    in bhure kutton ki talash ke madad-gar ban rahe hain

    mahaul par wahshat ki dhund chhai hui hai

    ye wahshat itni KHaufnak hai

    ki

    jangali darinde bhi apni KHaslat bhul gae hain

    aur is dhund mein

    safed KHargosh

    apni baqa ki KHatir bhure aur kale kutton ki haDbong

    ki wahshat se

    itne hirasan ho rahe hain

    ki

    kahin kahin par wo apni khaal ki rangat tak

    chhupane ke liye majbur ho rahe hain

    safed KHargoshon ka ek aur bhi masala hai ki

    wo kabhi kabhi apni hi khaal ko

    apne hi danton se kutarne mein lag jate hain

    jis ki wajh se

    un ki shanaKHt ki pahchan

    kutton ke liye

    aasan ho jati hai

    lekin agar unhen

    apni yaksan shanaKHt ka

    ehsas ho jae

    to

    ye bhure aur kale kutte

    phir apni bhuk ko bhul kar

    apni mashkuk shanaKHt ko bachane

    ke liye pareshan ho jaenge

    lekin

    kya safed KHargosh kabhi

    apni shanaKHt ka minar tamir kar paenge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now