Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shararat ka maza

Mohammad Shafiuddin Nayyar

shararat ka maza

Mohammad Shafiuddin Nayyar

MORE BYMohammad Shafiuddin Nayyar

    ek laḌke naam arshad

    naam thā arshad kaam the sab bad

    din bhar ḳhuub sharārat kartā

    phir bhī us peT na bhartā

    is ko chhuā us chiiz ko toḌā

    is ko liyā us chiiz ko phoḌā

    sāthī us se ghabrāte the

    dekhte katrā jaate the

    ik din hai zikr huā kyā

    aap ne dekhā shahd chhattā

    dekhte bas khel ye khelā

    maarā us par taak ke Dhelā

    makkhiyāñ pahle to ghabrā.īñ

    phir jhallā kar us par aa.iiñ

    sab ne mil kar itnā kaaTā

    bhuul ga.e vo sair-sapāTā

    phuul ke kuppā ho ga.e arshad

    rote rote so ga.e arshad

    phir vo sīdhe ho ga.e aise

    'nayyar' sīdhī gaa.e ho jaise

    ek laDke ka nam arshad

    nam tha arshad kaam the sab bad

    din bhar KHub shararat karta

    phir bhi us ka peT na bharta

    is ko chhua us chiz ko toDa

    is ko liya us chiz ko phoDa

    sathi us se ghabraate the

    dekhte hi katra jate the

    ek din ka hai zikr hua kya

    aap ne dekha shahd ka chhatta

    dekhte hi bas khel ye khela

    mara us par tak ke Dhela

    makkhiyan pahle to ghabrain

    phir jhalla kar us par aain

    sab ne mil kar itna kaTa

    bhul gae wo sair-sapaTa

    phul ke kuppa ho gae arshad

    rote rote so gae arshad

    phir wo sidhe ho gae aise

    'nayyar' sidhi gae ho jaise

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now