Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shirkat-e-mahfil

Nazm Tabatabai

shirkat-e-mahfil

Nazm Tabatabai

MORE BYNazm Tabatabai

    hamesha rahtā hai chīñ-bar-jabīñ afsurda dil

    phir kisī bazm-e-ishrat meñ na bahr-e-ḳhudā

    ḳhud apnī jaan se be-zār insāf kar

    tujh se ahl-e-bazm phir kis tarah ḳhush hoñge bhalā

    chāhiye is tarah jaanā mahfil-e-ahbāb meñ

    baaġh meñ jis tarah ḳhush ḳhush aatī hai bād-e-sabā

    ḳhair-maqdam ishāra jhuum kar kartī hai shāḳh

    aur chaTak kar detī haiñ kaliyāñ sadā-e-marhabā

    jis shajar ke paas se guzre lagā vo jhūmne

    pahuñche jis ġhunche tak afsurda thā vo hañsne lagā

    dil pe jo guzre vo guzre kyuuñ kisī ko ho ḳhabar

    sab se baḌh kar hai ḳhudā haal dil jāntā

    shādī-o-ġham jab ki donoñ haiñ jahāñ meñ be-sabāt

    vaqt apnā kaaT de hañs bol kar bahr-e-ḳhudā

    tu hamesha rahta hai chin-bar-jabin afsurda dil

    phir kisi ki bazm-e-ishrat mein na ja bahr-e-KHuda

    KHud hi apni jaan se be-zar tu insaf kar

    tujh se ahl-e-bazm phir kis tarah KHush honge bhala

    chahiye is tarah jaana mahfil-e-ahbab mein

    bagh mein jis tarah KHush KHush aati hai baad-e-saba

    KHair-maqdam ka ishaara jhum kar karti hai shaKH

    aur chaTak kar deti hain kaliyan sada-e-marhaba

    jis shajar ke pas se guzre laga wo jhumne

    pahunche jis ghunche tak afsurda tha wo hansne laga

    dil pe jo guzre wo guzre kyun kisi ko ho KHabar

    sab se baDh kar hai KHuda tu haal dil ka jaanta

    shadi-o-gham jab ki donon hain jahan mein be-sabaat

    waqt apna kaT de hans bol kar bahr-e-KHuda

    Source:

    Jadeed Shora.e Urdu (Pg. 120)

    • Author: Dr. Abdul Vaheed
      • Publisher: Firoz sons Printers Publishers Book sales
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now