Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sitare

MORE BYNoon Meem Rashid

    Interesting Fact

    Sonnet

    nikal kar jū-e-naġhma ḳhuld-zār-e-māh-o-anjum se

    fazā vus.atoñ meñ hai ravāñ āhista āhista

    ba-sū-e-nauha-ābād-e-jahāñ āhista āhista

    nikal kar aa rahī hai ik gulistān-e-tarannum se

    sitāre apne mīThe madh-bhare halke tabassum se

    kiye jaate haiñ fitrat ko javāñ āhista āhista

    sunāte haiñ use ik dāstāñ āhista āhista

    dayār-e-zindagī mad.hosh hai un ke takallum se

    yahī aadat hai roz-e-avvalīñ se un sitāroñ

    chamakte haiñ ki duniyā meñ masarrat hukūmat huuñ

    chamakte haiñ ki insāñ fikr-e-hastī ko bhulā Daale

    liye hai ye tamannā har kiran un nūr-pāroñ

    kabhī ye ḳhāk-dāñ gahvāra-e-husn-o-latāfat ho

    kabhī insān apnī gum-shuda jannat ko phir le

    nikal kar ju-e-naghma KHuld-zar-e-mah-o-anjum se

    faza ki wusaton mein hai rawan aahista aahista

    ba-su-e-nauha-abaad-e-jahan aahista aahista

    nikal kar aa rahi hai ek gulistan-e-tarannum se

    sitare apne miThe madh-bhare halke tabassum se

    kiye jate hain fitrat ko jawan aahista aahista

    sunate hain use ek dastan aahista aahista

    dayar-e-zindagi madhosh hai un ke takallum se

    yahi aadat hai roz-e-awwalin se un sitaron ki

    chamakte hain ki duniya mein masarrat ki hukumat hun

    chamakte hain ki insan fikr-e-hasti ko bhula Dale

    liye hai ye tamanna har kiran un nur-paron ki

    kabhi ye KHak-dan gahwara-e-husn-o-latafat ho

    kabhi insan apni gum-shuda jannat ko phir pa le

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now