aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

siyasi bengan

Zareef Lakhnavi

siyasi bengan

Zareef Lakhnavi

MORE BYZareef Lakhnavi

    Interesting Fact

    1921

    muslim se tanaffur aur kuffār se yārāna

    āḳhir ye qalā-bāzī kyuuñ khā ga.e maulānā

    laxmī mohabbat ne dil moh liyā itnā

    muñh moḌ ke ka.abe se pahuñche sū-e-but-ḳhāna

    islām ta.ajjub se añgusht ba-dandāñ hai

    marghaT meñ jale sham.a tauhīd parvāna

    thālī meñ siyāsat beñgan tarah lunDhke

    aur is ko samajhte haiñ ik chaal harīfāna

    public ke phañsāne ko sab jaal ke phande the

    ye desh ye amāma aur sub.ha-e-sad-dāna

    muslim se tanaffur aur kuffar se yarana

    aaKHir ye qala-bazi kyun kha gae maulana

    laxmi ki mohabbat ne dil moh liya itna

    munh moD ke kabe se pahunche su-e-but-KHana

    islam tajjub se angusht ba-dandan hai

    marghaT mein jale shama tauhid ka parwana

    thaali mein siyasat ki bengan ki tarah lunDhke

    aur is ko samajhte hain ek chaal harifana

    public ke phansane ko sab jal ke phande the

    ye desh ye amama aur subha-e-sad-dana

    Source:

    Intikhab-e-Kalam-e-Zareef (Pg. 105)

      • Edition: 1984
      • Publisher: Uttar Pradesh Urdu Academy, Lucknow
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now