Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum ek hi bap ki aulad hain

Iftikhar Bukhari

hum ek hi bap ki aulad hain

Iftikhar Bukhari

MORE BYIftikhar Bukhari

    ham haath nahīñ milā.eñge

    ye vaqt diloñ ko milāne hai

    ham ne tanhā.ī oḌh

    aur insāniyat ikaa.ī ko sirhānā banā liyā

    ham safar nahīñ kareñge

    jab tak hamāre sandūq

    ḳhūbsūrat tahā.if se tahī haiñ

    hājat se ziyāda ḳharīdeñge na becheñge

    ki dukāneñ aur bāzār

    farāvānī se bhare raheñ

    baġhair zarūrat gharoñ se nahīñ nikleñge

    ki shāhrāheñ maidān aur baaġh jald ābād huuñ

    agar zarūrī huā to

    kisī ḳhāmosh kone meñ mareñge

    ki zamīn hamāre baad bhī gītoñ se gūñjtī rahe

    hum hath nahin milaenge

    ye waqt dilon ko milane ka hai

    hum ne tanhai oDh li

    aur insaniyat ki ikai ko sirhana bana liya

    hum safar nahin karenge

    jab tak hamare sanduq

    KHubsurat tahaif se tahi hain

    hajat se ziyaada KHaridenge na bechenge

    ki dukanen aur bazar

    farawani se bhare rahen

    baghair zarurat gharon se nahin niklenge

    ki shahrahen maidan aur bagh jald aabaad hun

    agar zaruri hua to

    kisi KHamosh kone mein marenge

    ki zamin hamare baad bhi giton se gunjti rahe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now