Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

subh se sham tak

Zia Jalandhari

subh se sham tak

Zia Jalandhari

MORE BYZia Jalandhari

    ek shoḳhī-bharī doshīza-e-billor-jamāl

    jis ke hoñToñ pe hai kaliyoñ ke tabassum nikhār

    sēmgūñ ruḳh se uThā.e hue shab-rañg naqāb

    tez raftār uḌātī huī kohre ġhubār

    ufuq-e-sharq se iThlātī huī aatī hai

    mast āñkhoñ se barastā hai subūhī ḳhumār

    phuul se jism pe hai shabnamī zartār libās

    karvaTeñ letā hai dil meñ use chhūne ḳhayāl

    āñkheñ malte hue jaag uThte haiñ lākhoñ ehsās

    ye hasīna mujhe uksātī huī aatī hai

    naġhme guuñj uTThe haiñ pāzeb jhankār ke saath

    nuqra.ī uñgliyāñ āfāq pe lahrātī haiñ

    jism ke loch meñ sīmāb maujeñ haiñ ravāñ

    lahreñ bāhoñ thiraktī huī bal khātī haiñ

    nāchte nāchte baḌhtī hai magar ruktī huī

    dil ko barmātā hai us shoḳh bharpūr shabāb

    us garmī mirī sāñsoñ se koī duur nahīñ

    farsh-e-maḳhmal pe bichhī jaatī haiñ us nazreñ

    niile āñchal meñ damaktī huī shaffāf jabīñ

    uTThī mashriq se to maġhrib taraf jhuktī huī

    muzmahil chehre zardī meñ hai ruḳhsat payām

    surmagīñ āñkhoñ pe jhukne ko haiñ lambī palkeñ

    qurmuzī dhāriyāñ chhan chhan ke siyah zulfoñ se

    jazb ho jaatī haiñ dahke hue ruḳhsāroñ meñ

    zulfeñ bikhrī huī shānoñ se Dhalak aa.ī haiñ

    sar jhukā.e hue muñh pher ke ḳhāmoshī se

    duur maġhrib ke dhuñdlakoñ meñ chalī jaatī hai

    mere dil meñ haiñ sulagtī huī yādeñ us

    unhī yādoñ se mirī ruuh jalī jaatī hai

    kitnī tārīkiyāñ chup chaap sarak aa.ī haiñ

    ek shoKHi-bhari doshiza-e-billor-jamal

    jis ke honTon pe hai kaliyon ke tabassum ka nikhaar

    seemgun ruKH se uThae hue shab-rang naqab

    tez raftar uDati hui kohre ka ghubar

    ufuq-e-sharq se iThlati hui aati hai

    mast aankhon se barasta hai subuhi ka KHumar

    phul se jism pe hai shabnami zartar libas

    karwaTen leta hai dil mein use chhune ka KHayal

    aankhen malte hue jag uThte hain lakhon ehsas

    ye hasina mujhe uksati hui aati hai

    naghme gunj uTThe hain pazeb ki jhankar ke sath

    nuqrai ungliyan aafaq pe lahraati hain

    jism ke loch mein simab ki maujen hain rawan

    lahren bahon ki thirakti hui bal khati hain

    nachte nachte baDhti hai magar rukti hui

    dil ko barmata hai us shoKH ka bharpur shabab

    us ki garmi meri sanson se koi dur nahin

    farsh-e-maKHmal pe bichhi jati hain us ki nazren

    nile aanchal mein damakti hui shaffaf jabin

    uTThi mashriq se to maghrib ki taraf jhukti hui

    muzmahil chehre ki zardi mein hai ruKHsat ka payam

    surmagin aankhon pe jhukne ko hain lambi palken

    qurmuzi dhaariyan chhan chhan ke siyah zulfon se

    jazb ho jati hain dahke hue ruKHsaron mein

    zulfen bikhri hui shanon se Dhalak aai hain

    sar jhukae hue munh pher ke KHamoshi se

    dur maghrib ke dhundlakon mein chali jati hai

    mere dil mein hain sulagti hui yaaden us ki

    unhi yaadon se meri ruh jali jati hai

    kitni tarikiyan chup chap sarak aai hain

    Source:

    sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 10)

    • Author: ziyaa jaalandhar
      • Edition: 1993
      • Publisher: sang-e-miil publication lahore
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now