Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sunahri darwaze ke bahar

Farooq Nazki

sunahri darwaze ke bahar

Farooq Nazki

MORE BYFarooq Nazki

    larazte badan

    rañg kohre meñ lipTe hue

    adh-marī raushnī kafan oḌh kar

    maut sar-zamīñ meñ ujāloñ pe qurbān hone se pahle

    bahut der tak

    apne ehsās aañch sahte rahe

    shaam

    niim tārīk rāhoñ pe māthā ragaḌtī rahī

    kāñptī thartharātī shab-e-ġham ke sāñche meñ Dhalne se pahle

    bahut der tak

    sard fānūs ke paas Thahrī rahī

    chāñd

    ākāsh ke gahre niile samundar meñ tāroñ indar-sabhā se

    bahut der tak

    maut sarzamīñ par ujāloñ gul-poshiyāñ kar rahā thā

    lahad-tā-lahad koī saaya na ḳhāka

    qadam-tā-qadam manziloñ ke nishāñ gum

    makīnoñ se ḳhālī makānoñ ke dar

    taḳhtiyāñ rahne vāloñ ke nāmoñ le kar

    bahut der tak muntazir the magar

    koī dastak na aahaT

    idhar

    be-zabāñ shahr tīrgī meñ

    larazte badan

    kaif-o-kam ke badalte hue zāviyoñ meñ

    ulajhte chhalakte bikharte simaTte rahe

    aur kohre meñ lipTe hue

    shāḳh-dar-shāḳh raushnī se guzar kar

    salīboñ ke saa.e meñ dam le rahe haiñ

    larazte badan

    rang kohre mein lipTe hue

    adh-mari raushni ka kafan oDh kar

    maut ki sar-zamin mein ujalon pe qurban hone se pahle

    bahut der tak

    apne ehsas ki aanch sahte rahe

    sham

    nim tarik rahon pe matha ragaDti rahi

    kanpti thartharaati shab-e-gham ke sanche mein Dhalne se pahle

    bahut der tak

    sard fanus ke pas Thahri rahi

    chand

    aakash ke gahre nile samundar mein taron ki indar-sabha se

    bahut der tak

    maut ki sarzamin par ujalon ki gul-poshiyan kar raha tha

    lahad-ta-lahad koi saya na KHaka

    qadam-ta-qadam manzilon ke nishan gum

    makinon se KHali makanon ke dar

    taKHtiyan rahne walon ke namon ki le kar

    bahut der tak muntazir the magar

    koi dastak na aahaT

    idhar

    be-zaban shahr ki tirgi mein

    larazte badan

    kaif-o-kam ke badalte hue zawiyon mein

    ulajhte chhalakte bikharte simaTte rahe

    aur kohre mein lipTe hue

    shaKH-dar-shaKH raushni se guzar kar

    salibon ke sae mein dam le rahe hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now