Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

swadeshi tahrik

Tilok Chand Mahroom

swadeshi tahrik

Tilok Chand Mahroom

MORE BYTilok Chand Mahroom

    vatan ke dard-e-nihāñ davā sudeshī hai

    ġharīb qaum hājat-ravā sudeshī hai

    tamām dahr rūh-e-ravāñ hai ye tahrīk

    sharīk husn-e-amal jā-ba-jā sudeshī hai

    qarār-e-ḳhātir-e-āshufta hai fazā us

    nishān-e-manzil-e-sidq-o-safā sudeshī hai

    vatan se jin ko mohabbat nahīñ vo kyā jāneñ

    ki chiiz kaun bideshī hai kyā sudeshī hai

    usī ke saaya meñ paatā hai parvarish iqbāl

    misāl-e-sāya-e-bāl-e-humā sudeshī hai

    usī ne ḳhaak ko sonā banā diyā aksar

    jahāñ meñ gar hai koī kīmiyā sudeshī hai

    fanā ke haath meñ hai jān-e-nā-tavān-e-vatan

    baqā jo chāho to rāz-e-baqā sudeshī hai

    ho apne mulk chīzoñ se kyuuñ hameñ nafrat

    har ik qaum jab mudda.ā sudeshī hai

    watan ke dard-e-nihan ki dawa sudeshi hai

    gharib qaum ki hajat-rawa sudeshi hai

    tamam dahr ki ruh-e-rawan hai ye tahrik

    sharik husn-e-amal ja-ba-ja sudeshi hai

    qarar-e-KHatir-e-ashufta hai faza us ki

    nishan-e-manzil-e-sidq-o-safa sudeshi hai

    watan se jin ko mohabbat nahin wo kya jaanen

    ki chiz kaun bideshi hai kya sudeshi hai

    usi ke saya mein pata hai parwarish iqbaal

    misal-e-saya-e-baal-e-huma sudeshi hai

    usi ne KHak ko sona bana diya aksar

    jahan mein gar hai koi kimiya sudeshi hai

    fana ke hath mein hai jaan-e-na-tawan-e-watan

    baqa jo chaho to raaz-e-baqa sudeshi hai

    ho apne mulk ki chizon se kyun hamein nafrat

    har ek qaum ka jab muddaa sudeshi hai

    Source:

    Urdu Me.n Qaumi Shayri ke 100 Saal (Pg. E-187 B-190)

      • Edition: 1959
      • Publisher: Parkashan Shakha Mohkam-e-Ittilaat, U. P.
      • Year of Publication: 1959
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now