Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

talash

Kaifi Azmi

talash

Kaifi Azmi

MORE BYKaifi Azmi

    Interesting Fact

    qila ahmad nagar , jahaan congresi rahnumaa nazar band the (isii jail men rah kar maulaana abulkalaam ne bhii apnii mashhoor tasneef ''Gubaar-e-KHaatir'' tahriir kii)

    ye bujhī shaam ye sahmī huī parchhā.iyāñ

    ḳhūn-e-dil bhī is fazā meñ rañg bhar saktā nahīñ

    aa utar aa kāñpte hoñToñ pe ai māyūs aah

    saqf-e-zindāñ par koī parvāz kar saktā nahīñ

    jhilmilā.e merī palkoñ pe mah-o-ḳhur bhī to kyaa?

    is añdhere ghar meñ ik taarā utar saktā nahīñ

    luuT zulmat ne rū-e-hind tābindagī

    raat ke kāñdhe pe sar rakh kar sitāre so ga.e

    vo bhayānak āñdhiyāñ, vo abtarī, vo ḳhalfashār

    kārvāñ be-rāh ho niklā, musāfir kho ga.e

    haiñ isī aivān-e-be-dar meñ yaqīnan rahnumā

    aa ke kyuuñ dīvār tak naqsh-e-qadam gum ho ga.e

    dekh ai josh-e-amal vo saqf ye dīvār hai

    ek rauzan khol denā bhī koī dushvār hai

    ye bujhi si sham ye sahmi hui parchhaiyan

    KHun-e-dil bhi is faza mein rang bhar sakta nahin

    aa utar aa kanpte honTon pe ai mayus aah

    saqf-e-zindan par koi parwaz kar sakta nahin

    jhilmilae meri palkon pe mah-o-KHur bhi to kya?

    is andhere ghar mein ek tara utar sakta nahin

    luT li zulmat ne ru-e-hind ki tabindagi

    raat ke kandhe pe sar rakh kar sitare so gae

    wo bhayanak aandhiyan, wo abtari, wo KHalfashaar

    karwan be-rah ho nikla, musafir kho gae

    hain isi aiwan-e-be-dar mein yaqinan rahnuma

    aa ke kyun diwar tak naqsh-e-qadam gum ho gae

    dekh ai josh-e-amal wo saqf ye diwar hai

    ek rauzan khol dena bhi koi dushwar hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now