Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tark-e-mohabbat ke baad

Ahmad Nadeem Qasmi

tark-e-mohabbat ke baad

Ahmad Nadeem Qasmi

MORE BYAhmad Nadeem Qasmi

    ġhair ho ke bhī tum merī mohabbat chāho

    is ghaTā-Top añdhere meñ ye taare kaise

    farsh par jis ko abhī tak na milī jaa.e panāh

    arsh se chāñd aivān utāre kaise

    jis rāhoñ pe bhaTakte hue jag biite haiñ

    phir usī dasht ko bad-baḳht sudhāre kaise

    qāfile aa.e ga.e gard uThī baiTh ga.ī

    ab musāfir ko ufuq par se ishāre kaise

    jin taqdīr meñ thā dāman-e-gulchīñ mazār

    vo shagūfe to parā.e haiñ hamāre kaise

    pesh kar saktā huuñ lekin tujhe bahlāne ko

    chāñdnī-rāt meñ machle hue rūmān yaad

    bed-e-majnūñ ke tilismāt se pal-pal chhantī

    āsmānoñ ko lapaktī huī ik taan yaad

    merī vāraftagī-e-shauq sun kar rūdād

    tirī āñkhoñ meñ damakte hue armān yaad

    donoñ chehroñ pe shafaq donoñ jabīnoñ pe araq

    donoñ sīnoñ meñ dhaḌakte hue haijān yaad

    kaun haiñ aap mirī ziist tanhā.ī sāthī

    pahlī pahchān yaad āḳhirī paimān yaad

    ghair ki ho ke bhi tum meri mohabbat chaho

    is ghaTa-Top andhere mein ye tare kaise

    farsh par jis ko abhi tak na mili jae panah

    arsh se chand ka aiwan utare kaise

    jis ki rahon pe bhaTakte hue jag bite hain

    phir usi dasht ko bad-baKHt sudhaare kaise

    qafile aae gae gard uThi baiTh gai

    ab musafir ko ufuq par se ishaare kaise

    jin ki taqdir mein tha daman-e-gulchin ka mazar

    wo shagufe to parae hain hamare kaise

    pesh kar sakta hun lekin tujhe bahlane ko

    chandni-raat mein machle hue ruman ki yaad

    bed-e-majnun ke tilismat se pal-pal chhanti

    aasmanon ko lapakti hui ek tan ki yaad

    meri waraftagi-e-shauq ki sun kar rudad

    teri aankhon mein damakte hue arman ki yaad

    donon chehron pe shafaq donon jabinon pe araq

    donon sinon mein dhaDakte hue haijaan ki yaad

    kaun hain aap meri zist ki tanhai sathi

    pahli pahchan ki yaad aaKHiri paiman ki yaad

    Source:

    Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 74)

    • Author: Munavvar Jameel
      • Edition: 2000
      • Publisher: Haji Haneef Printer Lahore
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now