Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tin sharabi

Ali Sardar Jafri

tin sharabi

Ali Sardar Jafri

MORE BYAli Sardar Jafri

    zikr nahīñ ye farzānoñ

    qissa hai ik dīvānoñ

    masco, paris aur london meñ

    dekhe maiñ ne tiin sharābī

    surḳh thiiñ āñkheñ ruuh gulābī

    nashsha-e-mai taaj jabīñ par

    fikr falak par paañv zamīñ par

    be-ḳhabar apnī laġhzish-e-pā se

    bā-ḳhabar apne ahd-e-vafā se

    duḳhtar-e-raz ke dar ke bhikārī

    apne qalb o nazar ke shikārī

    lene ke ba.ad bhī pyāse

    jaam sūrat chhalke chhalke

    abr sūrat halke halke

    mastī talvār uThā.e

    fasl-e-gul chehroñ pe khilā.e

    qadam qadam par bahak rahe the

    mahak rahe the chahak rahe the

    ek ne shāyad whiskey thī

    dūsre ne shampain botal

    tīsare ne vo pighlī chāñdī

    vodka sayyāl hasīna

    vo shai jis tābish-e-ruḳh se

    shīshe ko aa jaa.e pasīna

    maiñ ne un nāzuk lamhoñ meñ

    rūh-e-bashar ko uryāñ dekhā

    ahd-e-ḳhizāñ rañg-e-parīdañ

    rañg-e-ahd-e-bahārāñ dekhā

    zāhir dekhā pinhāñ dekhā

    zikr nahīñ ye farzānoñ

    qissa hai ik dīvānoñ

    raat ne apnī kaalī zabāñ se

    ḳhuun shafaq ke dil chāTā

    chaar taraf ḳhāmoshī chhā.ī

    phail gayā har-sū sannāTā

    jannat-e-paris ke pahlū meñ

    seine maujoñ ko niiñd aa.ī

    Dasne lagī mujh ko tanhā.ī

    mai-ḳhāne meñ kar maiñ ne

    aag se dil pyaas bujhā.ī

    riñd bahut the lekin vo sab

    apne nashe meñ kho.e hue the

    jaag rahī thiiñ āñkheñ lekin

    dil to sab ke so.e hue the

    koī nahīñ thā un meñ merā

    meñ ye baiThā soch rahā thā

    kab ye zālim raat kaTegī

    kab vāpas aa.egā saverā

    itne meñ ik qāmat-e-ra.anā

    qadam qadam par phuul khilātā

    hoñToñ se ma.asūm tabassum

    āñkhoñ se bijlī barsātā

    mai-ḳhāne meñ jhuum ke aayā

    naaz o adā ke daam bichhātā

    aish o tarab mahbūbāyeñ

    nashsha-e-mai doshīzā.eñ

    rah ga.iiñ apnī āñkheñ mal kar

    aa.ī qayāmat chaal meñ Dhal kar

    sikkoñ jhankār pe gaatī

    sone talvār nachātī

    apne lahū meñ aap nahātī

    is nāzuk lamhe meñ maiñ ne

    hirs-o-havas ko raqsāñ dekhā

    zad meñ nizām-e-zardārī

    rūh-e-bashar ko larzāñ dekhā

    majbūrī ko uryāñ dekhā

    zikr nahīñ ye farzānoñ

    qissa hai ik dīvānoñ

    gahre kohre lahroñ meñ

    saarā london Duub gayā thā

    lamhoñ raushan āñkhoñ meñ

    shaam kājal phail chukā thā

    raat niilī devī jaagī

    din ke devtā ko niiñd aa.ī

    Dasne lagī mujh ko tanhā.ī

    mai-ḳhāne meñ kar maiñ ne

    aag se dil pyaas bujhā.ī

    us mahfil meñ sab kuchh thā

    saaqī bhī aur pīr-e-muġhāñ bhī

    sahbā āġhosh ke paale

    tiflak-e-mastī rind-e-javāñ bhī

    ġhāza o rañg ma.ashūqā.eñ

    jin latāfat shab bhar thī

    itr aur resham mīnā.eñ

    jin sahbā lab bhar thī

    aaj sukh thaa, kal dukh thā

    aaj āshā, kal nirāshā

    hañs hañs kar ġham dekh rahe the

    in jhūTī ḳhushiyoñ tamāshā

    nā-ummīdī ke kāñdhoñ par

    rakkhā thā ummīd lāsha

    aaj vo le leñ, jo mil jaa.e

    kal kyā hogā kaun batā.e

    aaj diloñ sham.a jalā.eñ

    kal shāyad ye raat na aa.e

    aaj to mai kashtī khe leñ

    kal ye safīna Duub na jaa.e

    aaj laboñ bosa le leñ

    maut bosa kal lenā hai

    aaj diloñ qarz chukā leñ

    kal to sab kuchh de denā hai

    is nāzuk lamhe meñ maiñ ne

    rūh-e-bashar ko vīrāñ dekhā

    atom-bomb ke ḳhauf ke aage

    aql o ḳhirad ko hairāñ dekhā

    saare jahāñ ko larzāñ dekhā

    zikr nahīñ ye farzānoñ

    qissa hai ik dīvānoñ

    dosh-e-havā par tārīkī ne

    zulfoñ ke ḳham khol diye the

    masco ḳhāmosh fazā meñ

    raat āñkhoñ ke kājal ne

    kitne jaadū ghol diye the

    surḳh o siyah maḳhmal ke uupar

    shaam ke sāyoñ ko niiñd aa.ī

    Dasne lagī mujh ko tanhā.ī

    mai-ḳhāne meñ kar maiñ ne

    aag se dil pyaas bujhā.ī

    ḳhush-fikroñ abr-e-bahārāñ

    jhuum paḌā thā mai-ḳhānoñ par

    bāda-kashoñ rañgīñ jhurmuT

    TuuT paḌā thā paimānoñ par

    saaz lai meñ tezī aa.ī

    nashsha-e-mai añgḌā.ī ne

    apnā hasīñ parcham lahrāyā

    chappa chappa zarra zarra

    qatra qatra raqs meñ aayā

    naġhmoñ ke be-tāb bhañvar ko

    lab ke TukḌe chuum rahe the

    raqs ke bekal girdāboñ meñ

    jism ke tūfāñ ghuum rahe the

    chehroñ raushan qindīleñ

    bāñhoñ dil-kash mehrābeñ

    raag nazar ḳhāmoshī ke

    jumbish-e-mizhgāñ mizrābeñ

    is gardish meñ darham-barham

    saarā nizām-e-shams-o-qamar thā

    pighal ga.e the chāñd aur sūraj

    mahfil-e-gul meñ raqs-e-sharar thā

    raat peshānī se jaise

    tāroñ jhūmar TuuT gayā ho

    pīr-e-falak ke haath se jaise

    tasht-e-zamarrud chhūT gayā ho

    hīre, nīlam, la.al aur motī

    ḳhaak pe jaise bikhar rahe haiñ

    jaise kisī ke barham gesū

    bikhar bikhar kar sañvar rahe hoñ

    nashsha-e-mai ke sar par lekin

    aql o ḳhirad taaj dharā thā

    duur se baiThā baiThā mujh ko

    ek sharābī dekh rahā thā

    us ne havā meñ haath se apne

    nanhā ik bosa pheñkā

    ik titlī uḌtī aa.ī

    mere dil ke phuul ke uupar

    kuchh kāñpī aur kuchh mañDlā.ī

    baiTh ga.ī par joḌ ke donoñ

    pyaar ke ras ko chuus ke uTThī

    aur mirī jānib se havā meñ

    bosa ban kar phir lahrā.ī

    kuchh sharmā.ī, kuchh itrā.ī

    aur sharābī mez se uTh kar

    raqs ke halqoñ se Takrātā

    kashtī sūrat chakrātā

    haath meñ apnā jaam uThā.e

    merī jānib jhūmtā aayā

    ḳhandāñ ḳhandāñ, nāzāñ nāzāñ

    raqsāñ raqsāñ, pechāñ pechāñ

    mauj-e-havā ko chūmtā aayā

    merī zabāñ thī urdu, hindī

    us zabāñ thī ruusī lekin

    ek zabāñ thī aisī bhī jo

    donoñ zabānoñ se pyārī thī

    donoñ jis ko bol rahe the

    chand ishāre chand tabassum

    nazroñ ḳhāmosh takallum

    harf yahī the, lafz yahī the

    shahad jo dil meñ ghol rahe the

    hind mastī, ruus naqsha

    donoñ ne ik jaam banāyā

    aur havā meñ us ko nachāyā

    saath hamāre sab rindoñ ne

    apne diloñ ko haath meñ le kar

    mere vatan jaam uThāyā

    ab jo maiñ ne muḌ kar dekhā

    jashn na thā ye dīvānoñ

    gird hamāre amn devī

    giit hūreñ saaz pariyāñ

    naġhme aur āvāz laḌiyāñ

    paris bad-baḳht hasīna

    maġhrūr america sipāhī

    london badmast sharābī

    aish o tarab mahbūbā.eñ

    nashsha-e-mai doshīzā.eñ

    ġhāza o rañg mashūqā.eñ

    itr aur resham mīnā.eñ

    'hāfiz' aur 'ġhālib' ġhazleñ

    'pushkin' aur 'tagore' nazmeñ

    kitne naaz aur kitnī adā.eñ

    kitnī shīrīñ aur lailā.eñ

    kitne rāñjhe, kitnī hīreñ

    kitne but, kitnī tasvīreñ

    amn koshish aur tadbīreñ

    mashriq o maġhrib taqdīreñ

    halqa bāñdhe naach rahī thiiñ

    maiñ ne is nāzuk lamhe meñ

    rūh-e-bashar ko nāzāñ dekhā

    nashsha o raqs ke pech o ḳham meñ

    pyaar jazba raqsāñ dekhā

    saare jahāñ ko ḳhandāñ dekhā

    zikr nahīñ ye farzānoñ

    qissa hai ik dīvānoñ

    zikr nahin ye farzanon ka

    qissa hai ek diwanon ka

    masco, paris aur london mein

    dekhe main ne tin sharabi

    surKH thin aankhen ruh gulabi

    nashsha-e-mai ka taj jabin par

    fikr falak par panw zamin par

    be-KHabar apni laghzish-e-pa se

    ba-KHabar apne ahd-e-wafa se

    duKHtar-e-raz ke dar ke bhikari

    apne qalb o nazar ke shikari

    pi lene ke baad bhi pyase

    jam ki surat chhalke chhalke

    abr ki surat halke halke

    masti ki talwar uThae

    fasl-e-gul chehron pe khilae

    qadam qadam par bahak rahe the

    mahak rahe the chahak rahe the

    ek ne shayad whiskey pi thi

    dusre ne shampain ki botal

    tisare ne wo pighli chandi

    wodka ki sayyal hasina

    wo shai jis ki tabish-e-ruKH se

    shishe ko aa jae pasina

    main ne un nazuk lamhon mein

    ruh-e-bashar ko uryan dekha

    ahd-e-KHizan ka rang-e-paridan

    rang-e-ahd-e-bahaaran dekha

    zahir dekha pinhan dekha

    zikr nahin ye farzanon ka

    qissa hai ek diwanon ka

    raat ne apni kali zaban se

    KHun shafaq ke dil ka chaTa

    chaar taraf KHamoshi chhai

    phail gaya har-su sannaTa

    jannat-e-paris ke pahlu mein

    seine ki maujon ko nind aai

    Dasne lagi mujh ko tanhai

    mai-KHane mein ja kar main ne

    aag se dil ki pyas bujhai

    rind bahut the lekin wo sab

    apne nashe mein khoe hue the

    jag rahi thin aankhen lekin

    dil to sab ke soe hue the

    koi nahin tha un mein mera

    mein ye baiTha soch raha tha

    kab ye zalim raat kaTegi

    kab wapas aaega sawera

    itne mein ek qamat-e-rana

    qadam qadam par phul khilata

    honTon se masum tabassum

    aankhon se bijli barsata

    mai-KHane mein jhum ke aaya

    naz o ada ke dam bichhata

    aish o tarab ki mahbubayen

    nashsha-e-mai ki doshizaen

    rah gain apni aankhen mal kar

    aai qayamat chaal mein Dhal kar

    sikkon ki jhankar pe gati

    sone ki talwar nachati

    apne lahu mein aap nahati

    is nazuk lamhe mein main ne

    hirs-o-hawas ko raqsan dekha

    zad mein nizam-e-zardari ki

    ruh-e-bashar ko larzan dekha

    majburi ko uryan dekha

    zikr nahin ye farzanon ka

    qissa hai ek diwanon ka

    gahre kohre ki lahron mein

    sara london Dub gaya tha

    lamhon ki raushan aankhon mein

    sham ka kajal phail chuka tha

    raat ki nili dewi jagi

    din ke dewta ko nind aai

    Dasne lagi mujh ko tanhai

    mai-KHane mein ja kar main ne

    aag se dil ki pyas bujhai

    us mahfil mein sab hi kuchh tha

    saqi bhi aur pir-e-mughan bhi

    sahba ki aaghosh ke pale

    tiflak-e-masti rind-e-jawan bhi

    ghaza o rang ki mashuqaen

    jin ki latafat shab bhar ki thi

    itr aur resham ki minaen

    jin ki sahba lab bhar ki thi

    aaj ka sukh tha, kal ka dukh tha

    aaj ki aasha, kal ki nirasha

    hans hans kar gham dekh rahe the

    in jhuTi KHushiyon ka tamasha

    na-ummidi ke kandhon par

    rakkha tha ummid ka lasha

    aaj wo le len, jo mil jae

    kal kya hoga kaun batae

    aaj dilon ki shama jalaen

    kal shayad ye raat na aae

    aaj to mai ki kashti khe len

    kal ye safina Dub na jae

    aaj labon ka bosa le len

    maut ka bosa kal lena hai

    aaj dilon ka qarz chuka len

    kal to sab kuchh de dena hai

    is nazuk lamhe mein main ne

    ruh-e-bashar ko viran dekha

    atom-bomb ke KHauf ke aage

    aql o KHirad ko hairan dekha

    sare jahan ko larzan dekha

    zikr nahin ye farzanon ka

    qissa hai ek diwanon ka

    dosh-e-hawa par tariki ne

    zulfon ke KHam khol diye the

    masco ki KHamosh faza mein

    raat ki aankhon ke kajal ne

    kitne jadu ghol diye the

    surKH o siyah maKHmal ke upar

    sham ke sayon ko nind aai

    Dasne lagi mujh ko tanhai

    mai-KHane mein ja kar main ne

    aag se dil ki pyas bujhai

    KHush-fikron ka abr-e-bahaaran

    jhum paDa tha mai-KHanon par

    baada-kashon ka rangin jhurmuT

    TuT paDa tha paimanon par

    saz ki lai mein tezi aai

    nashsha-e-mai ki angDai ne

    apna hasin parcham lahraya

    chappa chappa zarra zarra

    qatra qatra raqs mein aaya

    naghmon ke be-tab bhanwar ko

    lab ke TukDe chum rahe the

    raqs ke bekal girdabon mein

    jism ke tufan ghum rahe the

    chehron ki raushan qindilen

    banhon ki dil-kash mehraben

    rag nazar ki KHamoshi ke

    jumbish-e-mizhgan ki mizraben

    is gardish mein darham-barham

    sara nizam-e-shams-o-qamar tha

    pighal gae the chand aur suraj

    mahfil-e-gul mein raqs-e-sharar tha

    raat ki peshani se jaise

    taron ka jhumar TuT gaya ho

    pir-e-falak ke hath se jaise

    tasht-e-zamarrud chhuT gaya ho

    hire, nilam, lal aur moti

    KHak pe jaise bikhar rahe hain

    jaise kisi ke barham gesu

    bikhar bikhar kar sanwar rahe hon

    nashsha-e-mai ke sar par lekin

    aql o KHirad ka taj dhara tha

    dur se baiTha baiTha mujh ko

    ek sharabi dekh raha tha

    us ne hawa mein hath se apne

    nanha sa ek bosa phenka

    ek titli si uDti aai

    mere dil ke phul ke upar

    kuchh kanpi aur kuchh manDlai

    baiTh gai par joD ke donon

    pyar ke ras ko chus ke uTThi

    aur meri jaanib se hawa mein

    bosa ban kar phir lahrai

    kuchh sharmai, kuchh itrai

    aur sharabi mez se uTh kar

    raqs ke halqon se Takraata

    kashti ki surat chakraata

    hath mein apna jam uThae

    meri jaanib jhumta aaya

    KHandan KHandan, nazan nazan

    raqsan raqsan, pechan pechan

    mauj-e-hawa ko chumta aaya

    meri zaban thi urdu, hindi

    us ki zaban thi rusi lekin

    ek zaban thi aisi bhi jo

    donon zabanon se pyari thi

    donon jis ko bol rahe the

    chand ishaare chand tabassum

    nazron ka KHamosh takallum

    harf yahi the, lafz yahi the

    shahad jo dil mein ghol rahe the

    hind ki masti, rus ka naqsha

    donon ne ek jam banaya

    aur hawa mein us ko nachaya

    sath hamare sab rindon ne

    apne dilon ko hath mein le kar

    mere watan ka jam uThaya

    ab jo main ne muD kar dekha

    jashn na tha ye diwanon ka

    gird hamare amn ki dewi

    git ki huren saz ki pariyan

    naghme aur aawaz ki laDiyan

    paris ki bad-baKHt hasina

    maghrur america ka sipahi

    london ka badmast sharabi

    aish o tarab ki mahbubaen

    nashsha-e-mai ki doshizaen

    ghaza o rang ki mashuqaen

    itr aur resham ki minaen

    'hafiz' aur 'ghaalib' ki ghazlen

    'pushkin' aur 'tagore' ki nazmen

    kitne naz aur kitni adaen

    kitni shirin aur lailaen

    kitne ranjhe, kitni hiren

    kitne but, kitni taswiren

    amn ki koshish aur tadbiren

    mashriq o maghrib ki taqdiren

    halqa bandhe nach rahi thin

    main ne is nazuk lamhe mein

    ruh-e-bashar ko nazan dekha

    nashsha o raqs ke pech o KHam mein

    pyar ka jazba raqsan dekha

    sare jahan ko KHandan dekha

    zikr nahin ye farzanon ka

    qissa hai ek diwanon ka

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Ali Sardar Jafri

    Ali Sardar Jafri

    Source:

    Ek Khvab aur (Pg. 45)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now