Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Tipu ki aawaz

Aale Ahmad Suroor

Tipu ki aawaz

Aale Ahmad Suroor

MORE BYAale Ahmad Suroor

    go raat jabīñ se siyāhī na dhul sakī

    lekin mirā charāġh barābar jalā kiyā

    jis se diloñ meñ ab bhī harārat hai numūd

    barsoñ mirī lahad se vo sho.ala uThā kiyā

    phīkā hai jis ke sāmne aks-e-jamāl-e-yār

    azm-e-javāñ ko maiñ ne vo ġhāza atā kiyā

    mere lahū buuñd meñ ġhaltāñ thiiñ bijliyāñ

    ḳhāk-e-dakan ko maiñ ne sharar-āshnā kiyā

    sāhil aañkh meñ magar aa.ī na kuchh kamī

    dariyā meñ laakh laakh talātum huā kiyā

    ḳhvāb-e-girāñ se ġhunchoñ āñkheñ na khul sakīñ

    go shāḳh-e-gul se naġhma barābar uThā kiyā

    ye bazm aisī soī ki jaagī na aaj tak

    fitrat kārvāñ hai ki aage baḌhā kiyā

    maarā huā huuñ go ḳhalish-e-intizār

    mushtāq aaj bhī huuñ payām-e-bahār

    go raat ki jabin se siyahi na dhul saki

    lekin mera charagh barabar jala kiya

    jis se dilon mein ab bhi hararat ki hai numud

    barson meri lahad se wo shoala uTha kiya

    phika hai jis ke samne aks-e-jamal-e-yar

    azm-e-jawan ko main ne wo ghaza ata kiya

    mere lahu ki bund mein ghaltan thin bijliyan

    KHak-e-dakan ko main ne sharar-ashna kiya

    sahil ki aankh mein magar aai na kuchh kami

    dariya mein lakh lakh talatum hua kiya

    KHwab-e-giran se ghunchon ki aankhen na khul sakin

    go shaKH-e-gul se naghma barabar uTha kiya

    ye bazm aisi soi ki jagi na aaj tak

    fitrat ka karwan hai ki aage baDha kiya

    mara hua hun go KHalish-e-intizar ka

    mushtaq aaj bhi hun payam-e-bahaar ka

    Source:

    Hindustan Hamara (Vol. 2) (Pg. E-441 B-447)

      • Edition: 1974
      • Publisher: Hindustani Book Trust, Mumbai
      • Year of Publication: 1974
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now