Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tirgi

MORE BYZia Jalandhari

    ye raat din udāsī ye be-hisī ye thakan

    hayāt hai ki tah-e-barf nā-damīda chaman

    vo sabza merī nazar se mire jahān se duur

    magar kahīñ vo chaman vo hayāt hai to sahī

    ye dil meñ ek kasak mirī zabān se duur

    zabāñ se duur sahī koī baat hai to sahī

    chaman ko barf tah meñ numū ḳhvāhish hai

    hayāt ko tapish-e-ārzū ḳhvāhish hai

    ye raat din ki udasi ye be-hisi ye thakan

    hayat hai ki tah-e-barf na-damida chaman

    wo sabza meri nazar se mere jahan se dur

    magar kahin wo chaman wo hayat hai to sahi

    ye dil mein ek kasak si meri zaban se dur

    zaban se dur sahi koi baat hai to sahi

    chaman ko barf ki tah mein numu ki KHwahish hai

    hayat ko tapish-e-arzu ki KHwahish hai

    Source:

    sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 244)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now