Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main kyun bhul jaun

Arsh Malsiyani

main kyun bhul jaun

Arsh Malsiyani

MORE BYArsh Malsiyani

    tirī chashm-e-mai guuñ labrez sāġhar

    javānī tirī kaif-āvar javānī

    gulistāñ dar āġhosh-e-husn-e-tabassum

    vo tere lab-e-surḳh gul-fishānī

    takallum ke andāz ḳhāmoshiyoñ meñ

    zabān-e-nazar par hayā kahānī

    mujh se kah de maiñ kyuuñ bhuul jā.ūñ

    vo sāñsoñ tezī vo siine dhaḌkan

    vo donoñ chhup-chhup ke aañsū bahānā

    vo tajdīd-e-ulfat ke sau-sau bahāne

    vo ik dūsre se yuuñ ruuTh jaanā

    vo tark-e-mohabbat ke ilzām de kar

    kisī kisī ko hañsī meñ rulānā

    mujh se kah de maiñ kyuuñ bhuul jā.ūñ

    vo pās-e-adab vo ḳhulūs-e-mohabbat

    vafūr-e-tamannā meñ ḳhāmosh rahnā

    vo nazzārgī meñ tahayyur aalam

    ḳhud apnī nigāhoñ se ḳhāmosh rahnā

    razā-jū-tabī.at vo ta.alīm-koshī

    ġham-o-rañj meñ bhī vafā-kosh rahnā

    mujh se kah de maiñ kyuuñ bhuul jā.ūñ

    savāloñ tūmār mub.ham zabāñ meñ

    magar rāz-e-dil na iz.hār karnā

    nigāheñ milāne meñ to ik jhijhak

    magar dil dil meñ mujhe pyaar karnā

    vo arz-e-mohabbat pe ma.asūm va.ade

    vo luknat zabāñ vo iqrār karnā

    mujh se kah de maiñ kyuuñ bhuul jā.ūñ

    tirī chashm-e-pur-nam vo mas.ūd saa.at

    yaqīñ ban gayā jab gumān-e-mohabbat

    mohabbat ke din aur vo furqat rāteñ

    duā.eñ thiiñ jab tarjumān-e-mohabbat

    vo ḳhat jin har lafz ik dāstāñ thā

    vo jazbāt se pur-bayān-e-mohabbat

    mujh se kah de maiñ kyuuñ bhuul jā.ūñ

    vo chhiTkī huī chāñdnī bahāreñ

    vo gul-posh rāteñ vo dilkash nazāre

    manāzir simaTte hue aabjū meñ

    falak par chamakte hue chāñd taare

    vo thak kar kisī yuuñ baiTh jaanā

    vo uThnā kisī kisī ke sahāre

    mujh se kah de maiñ kyuuñ bhuul jā.ūñ

    vo tūfān-e-jazbāt-o-zor-e-tamannā

    vo josh-e-mohabbat vo pur-shauq bāteñ

    vo ghaḌiyāñ vo ārām-o-rāhat ghaḌiyāñ

    vo farhat ke din vo masarrat rāteñ

    vo ghāteñ vo ghātoñ ke parde meñ va.ade

    vo va.ade vo va.adoñ ke parde meñ ghāteñ

    mujh se kah de maiñ kyuuñ bhuul jā.ūñ

    ma.āl-e-masarrat vo majbūr aañsū

    vo kaif-e-tarb ġham-anjām honā

    pur-ilzām bāteñ vo sab zabāñ par

    mohabbat ke qisse vo aam honā

    vo bargashta-ḳhātir buzurgoñ bāteñ

    vo ma.asūm rūhoñ badnām honā

    mujh se kah de maiñ kyuuñ bhuul jā.ūñ

    vo din tafraqa-ḳhez majbūriyoñ

    fareb-e-muqaddar vo chīra-dastī

    ḳhumār-e-mai aish aur nā-murādī

    vo marg-e-tamannā vo anjām-e-mastī

    rusūm-e-kuhan sitam-āfrīnī

    zamāne jaur-e-qadāmat-parastī

    mujh se kah de maiñ kyuuñ bhuul jā.ūñ

    teri chashm-e-mai gun ka labrez saghar

    jawani teri kaif-awar jawani

    gulistan dar aaghosh-e-husn-e-tabassum

    wo tere lab-e-surKH ki gul-fishani

    takallum ke andaz KHamoshiyon mein

    zaban-e-nazar par haya ki kahani

    tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun

    wo sanson ki tezi wo sine ki dhaDkan

    wo donon ka chhup-chhup ke aansu bahana

    wo tajdid-e-ulfat ke sau-sau bahane

    wo ek dusre se yun hi ruTh jaana

    wo tark-e-mohabbat ke ilzam de kar

    kisi ka kisi ko hansi mein rulana

    tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun

    wo pas-e-adab wo KHulus-e-mohabbat

    wafur-e-tamanna mein KHamosh rahna

    wo nazzargi mein tahayyur ka aalam

    KHud apni nigahon se KHamosh rahna

    raza-ju-tabiat wo talim-koshi

    gham-o-ranj mein bhi wafa-kosh rahna

    tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun

    sawalon ka tumar mubham zaban mein

    magar raaz-e-dil ka na izhaar karna

    nigahen milane mein to ek jhijhak si

    magar dil hi dil mein mujhe pyar karna

    wo arz-e-mohabbat pe masum wade

    wo luknat zaban ki wo iqrar karna

    tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun

    teri chashm-e-pur-nam wo masud saat

    yaqin ban gaya jab guman-e-mohabbat

    mohabbat ke din aur wo furqat ki raaten

    duaen thin jab tarjuman-e-mohabbat

    wo KHat jin ka har lafz ek dastan tha

    wo jazbaat se pur-bayan-e-mohabbat

    tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun

    wo chhiTki hui chandni ki bahaaren

    wo gul-posh raaten wo dilkash nazare

    manazir simaTte hue aabju mein

    falak par chamakte hue chand tare

    wo thak kar kisi ka yun hi baiTh jaana

    wo uThna kisi ka kisi ke sahaare

    tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun

    wo tufan-e-jazbaat-o-zor-e-tamanna

    wo josh-e-mohabbat wo pur-shauq baaten

    wo ghaDiyan wo aaram-o-rahat ki ghaDiyan

    wo farhat ke din wo masarrat ki raaten

    wo ghaten wo ghaton ke parde mein wade

    wo wade wo wadon ke parde mein ghaten

    tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun

    maal-e-masarrat wo majbur aansu

    wo kaif-e-tarb ka gham-anjam hona

    pur-ilzam baaten wo sab ki zaban par

    mohabbat ke qisse ka wo aam hona

    wo bargashta-KHatir buzurgon ki baaten

    wo masum ruhon ka badnam hona

    tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun

    wo din tafraqa-KHez majburiyon ka

    fareb-e-muqaddar ki wo chira-dasti

    KHumar-e-mai aish aur na-muradi

    wo marg-e-tamanna wo anjam-e-masti

    rusum-e-kuhan ki sitam-afrini

    zamane ka jaur-e-qadamat-parasti

    tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun

    Source:

    meri behtareen nazam (Pg. 80)

    This content features in following collection(s)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now