Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saba ke hath pile ho gae

Translated By: Balraj Komal

Balraj Komal

Balraj Komal

saba ke hath pile ho gae

Balraj Komal

MORE BYBalraj Komal

    sabā ke haath piile ho ga.e

    maiñ sā.at-e-sarshār meñ

    lākhoñ duā.eñ

    ḳhūb-sūrat ārzueñ

    pesh kartā huuñ

    Saba's Hands are Now Saffron

    sabā mamnūn hai

    lekin zabāñ hai

    kuchh nahīñ kahtī

    Saba's hands are now saffron

    In the moment of fulfillment,

    I offer countless blessings,

    Beautiful hopes

    Saba is grateful,

    sabā ab roz o shab

    dīvār-o-dar tan par sajātī hai

    ab āñchal chhat sar par oḌhtī hai

    lams-e-farsh-e-marmarīñ se

    paañv taz.īn kartī hai

    vo kohsāroñ shagufta vādiyoñ jharnoñ

    chamakte nīl-gūñ ākāsh ke

    naġhme nahīñ gaatī

    sabā ab lāla-o-gul taraf shāyad nahīñ aatī

    sabā shabnam-adā tasvīr-e-pā-basta

    dar-e-rauzan meñ āvezāñ

    hasīñ nāzuk badan

    raushan munavvar sāhiloñ par ab nahīñ bahtī

    sabā lab kholtī hai muskurātī hai

    sabā sargoshiyoñ meñ

    ab kisī se kuchh nahīñ kahtī

    But says nothing

    Night and day,

    saba ke hath pile ho gae

    main saat-e-sarshaar mein

    lakhon duaen

    KHub-surat aarzuen

    pesh karta hun

    Saba's Hands are Now Saffron

    saba mamnun hai

    lekin zaban hai

    kuchh nahin kahti

    Saba's hands are now saffron

    In the moment of fulfillment,

    I offer countless blessings,

    Beautiful hopes

    Saba is grateful,

    saba ab roz o shab

    diwar-o-dar tan par sajati hai

    ab aanchal chhat ka sar par oDhti hai

    lams-e-farsh-e-marmarin se

    panw ki tazin karti hai

    wo kohsaron shagufta wadiyon jharnon

    chamakte nil-gun aakash ke

    naghme nahin gati

    saba ab lala-o-gul ki taraf shayad nahin aati

    saba shabnam-ada taswir-e-pa-basta

    dar-e-rauzan mein aawezan

    hasin nazuk badan

    raushan munawwar sahilon par ab nahin bahti

    saba lab kholti hai muskuraati hai

    saba sargoshiyon mein

    ab kisi se kuchh nahin kahti

    But says nothing

    Night and day,

    Source:

    aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 87)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now